Ehsan Danish

yun us pe meri arz-e-tamanna ka asar tha

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
yuuñ us pe mirī arz-e-tamannā kā asar thā
jaise koī sūraj kī tapish meñ gul-e-tar thā
uThtī thiiñ darīchoñ pe hamārī bhī nigāheñ
apnā bhī kabhī shahr-e-nigārāñ meñ guzar thā
ham jis ke taġhāful kī shikāyat ko ga.e the
aañkh us ne uThā.ī to jahāñ zer-o-zabar thā
shānoñ pe kabhī the tire bhīge hue ruḳhsār
āñkhoñ pe kabhī merī tarah dāman-e-tar thā
ḳhushbū se mo.attar hai abhī tak vo guzargāh
sadiyoñ se yahāñ jaise bahāroñ kā nagar thā
hai un ke sarāpā kī tarah ḳhush-qad o ḳhush-rañg
vo sarv kā paudā jo sar-e-rāhguzar thā
qatre kī tarā.ī meñ the tūfāñ ke nasheman
zarre ke ahāte meñ bagūloñ kā bhañvar thā
is ādam-e-ḳhākī pe sitāroñ kī nazar thī
is ḳhaak pe kuchh jalva-e-yazdāñ kā asar thā
maiñ royā to hañsne kī sadā aa.ī ka.ī yaar
vo jān-e-tamannā pas-e-dīvār-e-nazar thā
'dānish' thā ikahrā mirā pairāhan-e-hastī
be-parda zamāne pe mirā aib-o-hunar thā
Top Urdushayar.com