maiñ avaam meñ huuñ lekin nahīñ ḳhū-e-āmiyāna
na amal ḳhushāmdāna na suḳhan ḳhushāmdāna
tirī aur zindagī hai mirī aur zindagī hai
maiñ bulandiyoñ kā juuyā to asīr-e-āshiyāna
mujhe raas hī na aa.ī kabhī nā-qishoñ kī sohbat
mire jism-e-nā-tavāñ meñ nahīñ rūh-e-tājirāna
mire ḳhizr ke qadam haiñ mujhe mash.al-e-manāzil
mire dīda-e-talab meñ hai nigāh-e-mujrimāna
ġham-o-rañj kā chhupānā bhī hai kār-e-zarf lekin
hai ḳhushī ko zabt karnā rah-o-rasm-e-āqilāna
tirī tamkanat agar hai kisī dūsre ke bal par
ye chalan hai bāġhiyāna ye qadam hai mujrimāna
mujhe ḳhizr-e-nau kī hājat nahīñ rāh-e-bandagī meñ
mire maslak-e-vafā meñ ye ravish hai kāfirāna