Ehsan Danish

jala hai hae kis jaan-e-chaman ki sham-e-mahfil se

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
jalā hai haa.e kis jān-e-chaman kī sham-e-mahfil se
mahak phūloñ kī aatī hai sharār-e-ātish-e-dil se
ye dāmān-e-havādis se qayāmat tak na gul hogā
charāġh-e-dil mirā raushan hai un kī sham-e-mahfil se
janāb-e-ḳhizr ham ko ḳhaak raste par lagā.eñge
ki manzil be-ḳhudoñ kī hai muarra qaid-e-manzil se
Thahar bhī ai ḳhayāl-e-hashr aur ik jaam piine de
saraktā hai abhī zulmat kā parda ḳhāna-e-dil se
sahar ne le ke añgḌā.ī tilism-e-nāz-shab toḌā
falak par husn kī sham.eñ uThīñ tāroñ kī mahfil se
baḌhā hai kaun ye girdāb kī ḳhūrāk hone ko
ki uTThā shor-e-mātam yak-ba-yak amboh-e-sāhil se
mirī bālīñ se uTh kar rone vaalo ye bhī sochā hai
chalā huuñ kis kī mahfil meñ uThā huuñ kis kī mahfil se
hai us kambaḳht ko zid soz-e-bātin se pighal jā.ūñ
nigāhoñ ne tumhārī kah diyā hai kyā mire dil se
na dāman-gīr-e-dil ho nā-ḳhudā phir koī nazzāra
ḳhudā ke vāste kashtī baḌhā āġhosh-e-sāhil se
sipurd-e-be-ḳhudī kar de farā.ez aql-e-ḳhud-bīñ ke
haTā de is siyah-bātin kā pahrā ḳhāna-e-dil se
har ik zarra hai dil ai jaane vaale dekh kar chalnā
hazāroñ hastiyāñ lipTī paḌī haiñ ḳhāk-e-manzil se
mirī bebāk nazreñ un kī jānib uTh hī jaatī haiñ
abhī 'ehsān' maiñ vāqif nahīñ ādāb-e-mahfil se
Top Urdushayar.com