muhayyā sab hai ab asbāb-e-holī
uTho yaaro bharo rañgoñ se jholī
idhar yaar aur udhar ḳhūbāñ saf-ārā
tamāsha hai tamāsha hai tamāsha
chaman meñ dhūm-o-ġhul chāroñ taraf hai
idhar Dholak udhar āvāz-e-daf hai
idhar āshiq udhar ma.ashūq kī saf
nashshe meñ mast o har yak jām-ba-kaf
gulāl abraq se sab bhar bhar ke jholī
pukāre yak-ba-yak holī hai holī
lagī pichkāriyoñ kī maar hone
har ik suuñ rañg kī bauchhār hone
koī hai sāñvarī koī hai gorī
koī champā baran umroñ meñ thoḌī