Faez Dehlvi

holi

Faez Dehlvi

1690-1737

aaj hai roz-e-vasañt ai dostāñ

sarv-qad hai bostāñ ke darmiyāñ

baaġh meñ hai aish-o-ishrat raat din

gul-ruḳhāñ bin na.iiñ guzartī ek din

sab ke tan meñ hai libās-e-kesrī

karte haiñ sad-barg suuñ lab ham-sarī

ḳhūb-rū sab ban rahe haiñ laal zard

baaġh bāzār hai is vaqt sard

chāñd jaisā hai shafaq bhītar ayaañ

chehra sab az-gulāl ātish-fishāñ

har chhabelī az-libās-e-kesarī

taaza kartī hai bahāre-e-jāfrī

nāchtī ke holī dam-ba-dam

jyuuñ sabhā indar dar bāġh-e-iram

az kabīr-o-rañg-e-kesar aur gulāl

abr chhāyā hai safed-o-zard-o-lāl

jiyūñ jhaḌī har hai pichkārī dhaar

dauḌtī haiñ nāriyāñ bijlī ke saar

josh-e-ishrat ghar-ba-ghar hai har taraf

nāchtī haiñ sab takalluf-bar-taraf

Top Urdushayar.com