Mohammad Osama Sarsari

akaD shah ki zehanat

Mohammad Osama Sarsari

akaḌ shaah ne dostoñ se kahā
mujhe to zehānat huī hai atā
kahā dostoñ ne akaḌ shaah se
vo phañstā hai aksar akaḌ ho jise
akaḌ kar akaḌ shaah kahne lagā
akaḌ mere andar nahīñ hai zarā
maiñ kyoñ ḳhud ko be-aql-o-majnūñ kahūñ
tavāzo.a kī ḳhātir ġhalat kyoñ kahūñ
tabassum chhupā kar kahā dost ne
agar tū kahe āzmā.eñ tujhe
zahīñ hai to de ham ko tū bārah sau
samajhdār gar hai to de gyārah sau
akaḌ shaah bolā na mānūñgā haar
mire paas kal aanā ai mere yaar
maiñ teii.s dene ko tayyār huuñ
ki maiñ to zahīn aur samajhdār huuñ
kahā dost ne ai zahīñ chal batā
banī murġhī pahle ki anDā banā
akaḌ shaah pahle hañsā phir kahā
javāb us kā bilkul hai āsān sā
mujhe pahle murġhā banāyā gayā
varaq par phir anDā banāyā gayā
phir ik din usī dost se jab milā
to vo dost us se ye kahne lagā
bahut hī baḌe ho ga.e baal ab
hajāmat karāoge tum apnī kab
bulāyā tumheñ goyā hajjām ne
dukān us kī dekho vo hai sāmne
magar TuñD bilkul na karvānā tum
ki ho jaatī hai ThanD meñ siTTī gum
akaḌ shaah hajāmat karāne chalā
ki ye mashvara us ko achchhā lagā
jab agle din us dost se vo milā
use pā ke ganjā vo hairāñ huā
kahā dost ne bhaa.ī ye kyā kiyā
ye kis ne tujhe puurā ganjā kiyā
batāyā akaḌ shaah ne hañste hue
ki hajjām ke paas khulle na the
diye maiñ ne hajjām ko sau rūpa.e
kaTe the mire baal bas tiis ke
kahā maiñ is se na ghabrā zarā
tū sattar kā ab pher le usturā
'usāma' se qisse akaḌ shaah ke
na jāoge sun kar binā vaah ke
Top Urdushayar.com