ye kaun kahtā hai insāñ kā kārvān-e-hayāt
palaT ke aane ko hai be-gunāhī kī jānib
vahī gunāh vahī ma.asiyat vahī badbū
vahī hai dard vahī karvaTeñ vahī pahlū
ye kaun kahtā hai insāñ kā kārvān-e-hayāt
palaT ke aane ko hai be-gunāhī kī jānib
siyāhī jaise samundar kī thaah meñ pinhāñ
siyāhī jaise ḳham-e-dūd-e-āh meñ pinhāñ
maiñ dekhtā huuñ ki insāñ kā kārvān-e-hayāt
ujālā chhoḌ chalā hai siyāhī kī jānib
tabāhī jis meñ jahannam kā ġhaar poshīda
tabāhī jis meñ hai har fard zahar-noshīda
maiñ jāntā huuñ ki insāñ kā kārvān-e-hayāt
ravāñ-davāñ to hai lekin tabāhī kī jānib