duniyā meñ tujh ko hai agar armān-e-zindagī
tadbīr se tū bāñdh le paimān-e-zindagī
tāb-o-tab-e-amal ḳhalish-e-koshish-e-davām
un se baham pahuñchtā hai sāmān-e-zindagī
kar le rafū tū joshish-e-kirdār se ise
kyuuñ kar rahā hai chaak garebān-e-zindagī
jis zindagī meñ josh-e-ḳhudī kā na ho ḳhayāl
vo zindagī nahīñ kabhī shāyān-e-zindagī
kar nuuh ban ke us kā to har-dam muqābla
tūfān-e-zindagī hai ye tūfān-e-zindagī
mahdūd tū samajhne lagā hai ise magar
be-intihā vasī.a hai maidān-e-zindagī