uTh ki ḳhurshīd āsmāñ par jalva-afshāñ ho gayā
uTh ki goyā terī bedārī kā sāmāñ ho gayā
uTh ki pahuñchā chāhte haiñ ġhair manzil ke qarīb
tū badaltā hai abhī tak karvaTeñ ai bad-nasīb
uTh ki jidd-o-jahd se ho terī hastī kāmyāb
ḳhvāb āḳhir ḳhvāb hai kab tak rahegā mahv-e-ḳhvāb
uTh ki duniyā ko tire zauq-e-talab se kaam hai
zindagī kyā hai faqat sa.ī-e-amal kā naam hai
uTh ki be-raunaq nazar aatā hai ab sahn-e-chaman
bulbul-o-tūtī pe sabqat le ga.e zāġh-o-zaġhan
uTh ki jiinā hai to qānūn-e-ḳhudā par ġhaur kar
laisa-lil-insān-illā-mā-sa.ā par ġhaur kar
uTh ki duniyā tak rahī hai pai-ba-pai terī taraf
dekh chashm-e-ġhaur se ik baar tū apnī taraf
uTh ki tere haath meñ īqān kī shamshīr hai
tū agar chāhe to ye duniyā tirā naḳhchīr hai
uTh ki be-zauq-e-amal ye teġh bhī be-kār hai
to bhī terī zindagī bhī naqsh-bar-dīvār hai