Amjad Najmi

afkar-e-pareshan

Amjad Najmi

ye urūj-e-daulat-e-qaisarī ye shikoh-e-tāj-e-sikandarī
ki yahāñ to ḳhūn-e-ġharīb se hai tapish meñ nabz-e-tavañgarī
vahī ḳhvājgī vahī khusravī vahī rañg-o-nasl kī bartarī
yahī hai tamaddun-e-maġhribī koī mujh se sun le kharī kharī
jo hai tarz-e-bāda-kashāñ yahī jo hai mai-kade kā samāñ yahī
ḳhum-o-shīsha meñ mai-e-lāla-gūñ yūñhī saḌ rahegī dharī dharī
ye zamāna kaisā badal gayā na vo valvale na vo hausle
kisī vaqt the jo sanam-shikan vo haiñ aaj vaqf-e-sanam-girī
mire dil pe barq sī gir paḌī ye kahā jo murġh-e-asīr ne
mire āshiyāne kī shāḳh bhī kabhī thī chaman meñ harī-bharī
vahī aah asl meñ aah hai vahī naala asl meñ naala hai
ki idhar jo dil se nikal paḌe to udhar falak meñ ho thartharī
ye sitam-zarīfī-e-ahd-e-nau bhī hai 'najmī' kitnī ajiib sī
ki jo gumrahī meñ hai mubtalā hai usī ko da.avā-e-rahbarī
Top Urdushayar.com