Nashtar Amrohvi

begam aur shaeri

Nashtar Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

ek din mujh se ye farmāne lagī biivī mirī
merī sautan ban ga.ī hai aap kī ye shā.erī
vo ye kah kar mujh se kartī hai hamesha ehtijāj
shā.erī se aap kī hotā hai mujh ko iḳhtilāj
sochtī huuñ kis tarah hogā hamārā ab nibāh
mujh ko roTī chāhiye aur aap ko bas vaah vaah
mujh ko rahtī hai sadā bachchoñ ke mustaqbil kī dhun
aap baiThe kar rahe haiñ fā.elātun fā.elun
raat kaafī ho chukī hai niiñd meñ bachche haiñ dhut
aap yuuñ sākit hue baiThe haiñ jaise koī but
maiñ ye kahtī huuñ chukā diije jo pichhlā qarz hai
aap apnī dhun meñ kahte haiñ ki matl.a arz hai
maiñ ye kahtī huuñ ki dekhā kījiye mauqa.a-mahal
chheḌ dete haiñ kahīñ bhī ġhair-matbūa ġhazal
maan letī huuñ maiñ chaliye aap haiñ shā.er great
shā.erī se bhar nahīñ saktā magar bachchoñ kā peT
apne hindustān meñ murda-parastī aam hai
jitne shā.er mar chuke haiñ bas unhīñ kā naam hai
jab talak zinda rahe paise na the karne ko ḳharch
mar ga.e to ho rahī hai mirzā-'ġhālib' par research
maiñ ye bolā band kar apnā ye ba-hūda kalām
tujh ko kyā ma.alūm kyā hai ek shā.er kā maqām
jhuuT hai shāmil tasanno hai na kuchh is meñ daroġh
shā.erī se pā rahī hai aaj bhī urdu faroġh
huuñ sanā-ḳhvāñ maiñ 'figār'-o-'sāġhar'-o-'shahbāz' kā
ruḳh badal Daalā jinhoñ ne sher ke parvāz kā
Top Urdushayar.com