Shaad Aarfi

shofer

Shaad Aarfi

1900-1964
khaT... khaT... kaun? sabīha! kaise? yūñhī, koī kaam nahīñ
pichhlī raat.. bhyānak garage.. kyā kuchh ho anjām.. nahīñ
ham haiñ us aḳhlāq ke pairav, ham haiñ us tahzīb ke log
jis meñ iffat ik ''mafrūza'' ismat jis meñ '''zehnī rog''
do bachchoñ ke baap.. to kyā hai? ''dil kā ho insān javān''
tum bhī aise ban jaao nā jaise ''mañjhle bhaa.ī jān...''
un se.... vo.... tahzīb se ūñchī, chhoTe bhaa.ī se vaqtī chaah
shauhar aa.e na aa.e lekin devar kī ''taktī haiñ rāh''
naukar aur namak aur mazhab... in tavīloñ se baaz aao
mardoñ kī aisī nekī par aa jaatā hai mujh ko taav
hafta bhar meñ ik din ''aisī laġhzish'' koī aib nahīñ
zāhir hai paapā mammy ko hāsil ''ilm-e-ġhaib'' nahīñ
jaatī huuñ, ghabrāte kyuuñ ho? kyā añdhiyārī ghor nahīñ?
do dil raazī ke baare meñ qaazī kā kuchh zor nahīñ
Top Urdushayar.com