tābish-e-ḳhurshīd nūr-e-māh paanī kī jhalak
ḳhanda-e-qulqul sadā koyal kī ġhunchoñ kī chaTak
larzish-e-sīmāb bijlī kī taḌap shāḳhoñ kā loch
aql kī tezī tabī.at kī upach shā.ir kā soch
iztirāb-e-mauj kāñToñ kī ḳhalish nāgan ke bal
tiir kī sur.at kamāñ kā ijz shamshīroñ ke phal
aab motī kī chamak kundan kī hiire kī damak
ashrafī kā ruup Taksālī mahāsil kī khanak
dāman-e-kohsār ke manzar nava-e-ābshār
shor-e-dariyā karvaTeñ lahroñ kī sāhil kā qarār
zamzame kā itr kaif-e-naġhma lai kī puḳhtagī
shorish-e-mai, laġhzish-e-mai-nosh, josh-e-be-ḳhudī
āhu-e-ram-ḳhurda kī vahshat ḳharāre teziyāñ
gaa.e kī sanjīdgī jugnū kī ātish-reziyāñ
vādī-e-kashmīr kī nuzhat guloñ kā rañg-o-bū
sarv kā qad kabk kī raftār qamrī kā gulū
zulmat-e-shām-e-avadh sub.h-e-banaras kā nikhār
aagre ke taaj kī azmat himāla kā vaqār
somnātī rif.ateñ bhārat kī tahzīb-e-qadīm
pāTlī-putra kī shohrat magdh kī shān-e-azīm
dil-pazīrī-e-azāñ dildārī-e-nāqūs-e-dair
sehan-e-masjid kā taqaddus partav-e-fānūs-e-dair
''harbhajan'' kā faiz husn-e-e'tiqād-e-barhaman
kumbh ke mele kī zīnat vaq.at-e-gañg-o-jaman
barbat o chañg o surūd o arġhanūñ ke zer-o-bam
dil-kashī pardoñ kī āvāzoñ ke jaadū taal sam
talḳhi-e-anjām jab sab koshisheñ nākām hoñ
ḳhushnumā seboñ kī halkī turshiyāñ jab ḳhaam hoñ
dekh kar ye iqtibās-e-kār-gāh-e-ins-o-jāñ
kār-pardāzān-e-qudarat meñ huiiñ sargoshiyāñ
ek bolā imtizāj un kā qayāmat saaz hai
dūsrā kahne lagā ḳhāmosh koī raaz hai
ye anāsir ek muddat tak rahe garm-e-amal
āḳhirī tahrīk-e-ismat se hue aapas meñ hal
sub.h-dam jab gosha gosha matla-e-anvār thā
zarra zarra ālam-e-nairañg kā sarshār thā
is murkkab ko usūlī juñbisheñ hone lagīñ
ye hayūlā irtiqā.ī manzileñ tai kar gayā
shah-par-e-parvāz iffat se bulandī par gayā
e'tidāl-e-unsurī par pā liyā jab iqtidār
ain-fitrat ke mutābiq shakl kī ik iḳhtiyār
aa.ī a.azā meñ gudāzī aur garmī jism meñ
aa.ī ruḳhsāroñ pe surḳhī aur narmī jism meñ
pāya-e-takmīl ko pahuñchā jūñhī ye shāhkār
dast-e-qudrat ne TaTolī nabz us kī baar baar
bistar-e-nik.hat pe ye putlī jo mahv-e-ḳhvāb thī
mast añgḌā.ī ke hāthoñ jaag uThī sharmā ga.ī
dekh kar shā.ir ne us ko nukta-e-hikmat kahā
aur be-soche zamāne ne use ''aurat'' kahā