Shaheen Iqbal Asar

kutte

Shaheen Iqbal Asar

ye maanā bahut kaam aate haiñ kutte
ki choroñ ko pal meñ bhagāte haiñ kutte
nahīñ rahne dete haiñ sunsān us ko
mohalloñ kī zīnat baḌhāte haiñ kutte
magar un kī ḳhaslat hai apnoñ se laḌnā
ki kuttoñ pe ḳhud ġhurġhurāte haiñ kutte
agar jamā ho jaa.eñ kutte bahut se
to phir asliyat bhī dikhāte haiñ kutte
jo bore ko laTkā.e chuntā ho kāġhaz
to phir jaan ko us kī aate haiñ kutte
najis aur nāpāk hai jism un kā
jabhī to nahīñ ham ko bhāte haiñ kutte
vahāñ par hai ta.adād un kī ziyāda
jabhī log foreign se laate haiñ kutte
ka.ī aaise fashion ke maare bhī haiñ ab
ki pahlū meñ apne sulāte haiñ kutte
farishtoñ ko aane se vo rokte haiñ
gharoñ kī jo zīnat banāte haiñ kutte
Top Urdushayar.com