Jaan Nisar Akhtar

KHamosh aawaz

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
kitne din meñ aa.e ho sāthī
mere sote bhaag jagāne
dekho kitne thak se ga.e ho
kitnī thakan āñkhoñ meñ ghulī hai
chup ho kyūñ? kyā soch rahe ho
aao sab kuchh aaj bhulā do
bolo sāthī kuchh to bolo
kab tak āḳhir aah bharūñgī
aao maiñ tum se ruuTh sī jā.ūñ
aao mujhe tum hañs ke manā lo
tum ko merā ġham hai sāthī
kaise ab is ġham ko bhulā.ūñ
ye na samajhnā mere sājan
de na sakī maiñ saath tumhārā
ye na samajhnā maiñ ne tum se
jaan ke yuuñ muñh moḌ liyā hai
ye na samajhnā tum se maiñ ne
aaj kiyā hai koī bahānā
aaj bhī sājan maiñ huuñ tumhārī
aaj bhī tum ho mere apne
dil kī dhaḌkan Duub bhī jaa.e
dil kī sadā.eñ thak na sakeñgī
ye to pūchho mujh se chhuT kar
tere dil par kyā kyā guzrī
ek tumhārā pyaar bachā hai
varna sab kuchh luT sā gayā hai
aaj tumhārā rasta takte
maiñ ne puurā saal bitāyā
tum bin saare mausam biite
aa.e jhoñke sard havā ke
sāvan aayā dhuum machātā
ghir-ghir kaale bādal chhā.e
chāñd se jab bhī bādal guzrā
dil se guzrā aks tumhārā
aa.iiñ bahāreñ mujh ko manāne
tum bin maiñ to muñh na bolī
kitnī nikhrī sub.heñ guzrīñ
kitnī mahkī shāmeñ chhā.īñ
itnī muddat ba.ad to pirītam
aaj kalī hirdai kī khilī hai
bolo sāthī kuchh to bolo
kuchh to dil kī baat batāo
aao maiñ tum ko bahlā lūñgī
baiTh to jaao mere sahāre
achchhā merā ġham na bhulāo
merā ġham har ġham meñ samolo
mere ġham ko mere shā.er
apne javāñ gītoñ meñ rachā lo
mere ġham kī aañch se sāthī
chauñk uThegā azm tumhārā
maiñ jo tumhāre saath nahīñ huuñ
dil ko mat māyūs karo tum
aaj hamāre lākhoñ sāthī
sāthī himmat haar na jaao
achchhā ab to hañs do sāthī
varna dekho ro sī paḌūñgī
jaag uThī lo duniyā merī
aa.ī hañsī vo lab pe tumhāre
jhilmil jhilmil kirneñ aa.iiñ
mujh ko chandan-hār pahnāne
aa.iiñ havā.eñ jhāñjh bajātī
gītoñ morā añgnā jaagā
jaag uThā hai saarā aalam
jaag uThī hai raat milan kī
aao jaatī raat hai sāthī
pyaar tumhārā dil meñ bhar luuñ
uTTho sāthī duur ufuq kā
narm kinārā kaañp uThā hai
dil kī dhaḌkan Duub ke rah jā
jaagī nabzo tham sī jaao
mere ġham kā ġham na karo tum
achchhā ab se ġham na karūñgī
tum ko hañs kar ruḳhsat kar duuñ
sab kuchh maiñ ne hañs ke sahā hai
dekho! kitne kaam paḌe haiñ
achchhā ab mat der karo tum
bolo tum ko kaise rokūñ
duniyā sau ilzām dharegī
aao maiñ uljhe baal svārūñ
mujh se koī kaam to le lo
achchhā sāthī! jaao sidhāro
ab kī itne din na lagānā
lekin Thahro Thahro sāthī
dil ko zarā tayyār to kar luuñ
Top Urdushayar.com