Jaan Nisar Akhtar

aalam kitne

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
uf ye shabnam se chhalakte hue phūloñ ke ayāġh
is chaman meñ haiñ abhī dīda-e-pur-nam kitne
kitne ġhunche haiñ jigar-chāk gulistāñ meñ abhī
har taraf zaḳhm haiñ be-minnat-e-marham kitne
kitne sīnoñ meñ shikasta haiñ abhī dil ke rabāb
lab-e-ḳhāmosh pe haiñ naġhma-e-mātam kitne
kitne māthoñ ke abhī sard haiñ rañgīn gulāb
gard afshāñ haiñ abhī gesu-e-pur-ḳham kitne
zehn-e-ādam meñ hai afkār kī duniyā ābād
qalb-e-insāñ meñ amānat haiñ abhī ġham kitne
dhuñdle dhuñdle se sitāre haiñ ufuq par larzāñ
zindagānī ke hasīñ ḳhvāb haiñ mub.ham kitne
aaj to kākul-e-gītī na sañvar jā.egī
silsile shauq ke hoñge abhī barham kitne
jazb hoñge abhī is ḳhāk-e-chaman meñ ai dost
ashk ban ban ke guhar-reza-e-shabnam kitne
abhī gūñjeñge salāsil kī sadā.eñ kitnī
aur hoñge abhī zanjīr se mātam kitne
zindagī rāh-e-tasādum meñ bhaTaktī hai abhī
vaqt ke lab pe abhī uzr haiñ paiham kitne
ik zarā sabr ki in surḳh ghaTāoñ ke tale
sar-nigūñ hoñge yahāñ ḳhaak pe parcham kitne
lāla-o-gul ke tabassum se shafaq phūlegī
har taraf rañg nazar ā.eñge bāham kitne
ḳhūn-e-dil meñ hai nihāñ shola-e-sad-rañg-e-bahār
is gulistāñ meñ haiñ is raaz ke mahram kitne
inhī zarroñ se ubhar ā.eñge kitne mah-o-mehr
isī aalam se sañvar jā.eñge aalam kitne
Top Urdushayar.com