dard-e-ulfat yūñhī thā rag rag meñ saarī haa.e haa.e
kyuuñ lagāyā phir vafā kā zaḳhm-e-kārī haa.e haa.e
kuchh hañsī thā shirkat rañj-o-alam kā hausla
aah ye ek ḳhūgar nāz-o-ni.am kā hausla
thā mirā ġham-ḳhvār ban kar phūlnā phalnā muhāl
kaT gayā āḳhir na terā naḳhl-e-umr ai naunihāl
jiite jī ham tum rahe gar yak-dil-o-yakjā to kyā
tā-dam-e-āḳhir bharā gar dam mohabbat kā to kyā
chhoḌ kar zindāñ meñ mujh ko tū ne rāh-e-ḳhuld lī
tere zaḳhm-e-nāvak-e-furqat se maiñ jiitī bachī
vā dareġhā thā dil-e-bīmār-e-ġham ko aasrā
āb-e-teġh-e-nāz se ik din mujhe hogī shifā
ġham hare kartī hai fasl-e-ashk-bār-e-barshgāl
misl-e-qismat taar haiñ lail-o-nahār-e-barshgāl
ek din vo bhī thā jab dam bhar kī furqat thī muhāl
aah ik din ye bhī hai jab rūnumā hai infi.āl