Arzoo Lakhnavi

qaumi git

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
ai maañ ai maañ tujh ko salām bhārat-mātā ko parnām

tū to kaisī pyārī maañ hai
sab maaoñ se achchhī maañ hai
laaD uThāne vaalī maañ hai
apnī maañ hai apnī maañ hai
maatā ko parnām ai maañ ai maañ tujh ko salām

terī maañg meñ gañgā jal hai
bharā parā terā āñchal hai
hariyālī hai phuul hai phal hai
terī god sukh-manDal hai
maatā ko parnām ai maañ ai maañ tujh ko salām

sab se ūñche parbat vaalī
sab se baḌh kar shaukat vaalī
sab se bhārī daulat vaalī
izzat vaalī azmat vaalī
maatā ko parnām ai maañ ai maañ tujh ko salām

terī chhātī dharm samundar
jis kī maujeñ masjid mandir
donoñ kī hai guuñj barābar
allāh allāh īshvar īshvar
maatā ko parnām ai maañ ai maañ tujh ko salām

hindū muslim gore kaale
prem kī daarū ke matvāle
sab haiñ terī god ke paale
sab haiñ baat pe marne vaale
maatā ko parnām ai maañ ai maañ tujh ko salām

tere duudh kī sab meñ tāqat
ulfat izzat himmat jur.at
terī duā.eñ fat.h-o-nusrat
tere paañv ke nīche jannat
maatā ko parnām ai maañ ai maañ tujh ko salām

ab to luTere tujh ko lauTeñ
be-bhugte bhugtān na chhūTeñ
haath meñ dhun ho baazū TūTeñ
ghuur ke dekheñ āñkheñ phūTīñ
maatā ko parnām ai maañ ai maañ tujh ko salām

tujh se āshirbād jo paa.eñ
aarzū aise bhī tan jaa.eñ
bijlī ban kar aafat Dhā.eñ
duur huuñ phir to saarī balā.eñ
maatā ko parnām ai maañ ai maañ tujh ko salām
ai maañ ai maañ tujh ko salām bhārat-mātā ko parnām
Top Urdushayar.com