Noor N Sahir

walid

Noor N Sahir

Ganjdundwara, Uttar pradesh, India

1997
abbā tum mujh ko yaad aate ho
tum mujhe har ghaḌī rulāte ho
tum ga.e ho akelā kar ke mujhe
kar diyā zinda tum ne mar ke mujhe
bāñhoñ vaalī vo khatiyā ḳhālī hai
raat kyā zindagī hī kaalī hai
zindagī ḳhālī ḳhālī lagtī hai
bas yahī soch dil meñ paltī hai
sirf tanhā.ī dekhtā huuñ ab
jaane kyā kyā maiñ sochtā huuñ ab
kaun ab hausla baḌhā.egā
kaun ab piiTh thapthapā-e-gā
kaun ab sar pe haath rakkhegā
mere baare meñ kaun sochegā
kaun degā dilāsa duniyā meñ
ab rahūñgā maiñ pyāsā duniyā meñ
kaun DāñTegā ġhalatī karne par
kaun Tokegā ab mujhe yaaro
bin tumhāre to suunā sab ghar hai
dil meñ har vaqt ik nayā Dar hai
kaun ab pyaar se pukāregā
kaun ab zindagī sañvāregā
kis ke nazdīk ab maiñ baiThūñgā
dil kī bāteñ maiñ kis se bolūñgā
tum se har baat maiñ share kartā
tum the to maiñ kabhī nahīñ Dartā
ab maiñ kaise rahūñ be-ḳhauf-o-ḳhatar
sāmne lākhoñ dukh khaḌe haiñ satar
bas yahī fikr khā rahī hai mujhe
aap kī yaad aa rahī hai mujhe
zindagī kis qadar akelī hai
koī uljhī huī pahelī hai
tum ne ye zindagānī dī hai mujhe
koī apnī kahānī dī hai mujhe
har kahānī ko ḳhatm honā hai
zindagānī ko ḳhatm honā hai
haañ magar is se pahle kyā hogā
sochtā huuñ ki jaane kyā hogā
koī apnā na thā tumhāre sivā
mere dukh dard kī tumhīñ the davā
jab mujhe koī ġham satātā thā
tum ko har baat maiñ batātā thā
tum mujhe pyaar se biThāte the
aur dhīre se muskurāte the
phir maiñ har ġham ko bhuul jaatā thā
aur phir maiñ bhī muskurātā thā
abbā ab meñ akelā kaise jiyūñ
itne dukh dard ġham maiñ kaise sahūñ
merī himmat the hausla the tum
zinda rahne kā aasrā the tum
merī himmat bhī hausla bhī gayā
zinda rahne kā aasrā bhī gayā
ab faqat āh-o-zārī hai dil meñ
ik na.ī jañg jaarī hai dil meñ
dhaḌkaneñ tham ke ab dhaḌaktī haiñ
sāñseñ har vaqt ab phaḌaktī haiñ
aap ke chehre kī ziyārat ho
phir mujhe āñkhoñ se mohabbat ho
aap kā chehra kho gayā hai kahāñ
dhuñdhlā dhuñdhlā huā hai merā jahāñ
tum ne is pyaar se navāzā thā
pyaar vo koī de nahīñ saktā
tum ne maañ kī kamī na hone dī
zindagī meñ namī na hone dī
ham-nafas tum the tum hī dil-bar the
ham-safar tum the tum hī rahbar the
kaun ab sīdhī rah dikhā.egā
kaun ab rāste banā.egā
kaun ab pyaar se khilā.egā
kaun āġhosh meñ sulā.egā
ab mirā haath kaun thāmegā
kaun ab merā bojh uThā.egā
jab se duniyā se tum ga.e abbā
mere sukh chain kho ga.e abbā
tanhā tanhā huuñ be-sahārā huuñ
koī bujhtā huā sitārā huuñ
mujh pe ġham kā pahāḌ TuuTā hai
aap kā saath jab se chhūTā hai
beach dariyā meñ chhoḌ dī kashtī
itnī jaldī batāo kyoñ kar dī
ye bhī sochā nahīñ ki kyā hogā
aap kā beTā Dūbtā hogā
is ko ab kaun paar lā.egā
ab vo dariyā meñ ġhote khā.egā
nā-ḳhudā tum the tum masīhā the
tum hī māñjhī the tum hī nayyā the
baat ek aur hai jo karnī hai
zindagī is tarah guzarnī hai
jaise paanī binā koī machhlī
ḳhuub taḌpī bahut bahut phaḌkī
aur taḌapte hue phaḌakte hue
bas yahī kah ga.ī vo marte hue
bin sahāre koī nahīñ jiitā
chāhe vo sher ho yā ho chītā
merā har ik sahārā kho hī gayā
phuuT kar aaj maiñ bhī ro hī gayā
pahle ammī ga.iiñ ab abbā ga.e
haa.e ab maiñ yatīm ho hī gayā
Top Urdushayar.com