ye na.ī hai gardish-e-charḳh-e-kuhan
dushman-e-jāñ hai jafā-e-dil-shikan
pahle mahshar se qayāmat aa ga.ī
hashr ke sar par musībat aa ga.ī
luT gayā asbāb chhoḌā sab ne ghar
ab hai sahrā-e-musībat kā safar
muflisī kī har taraf ab hai pukār
maal ko rote haiñ apne māl-dār
paañv meñ juutī na sar par hai kulāh
tan hai uryāñ saarī ḳhilqat hai tabāh
hai qayāmat kā namūna dekh lo
kuchh na beTe kī ḳhabar hai baap ko
farsh-e-gul kī jā hai bistar ḳhaar kā
rañg faq hai har jigar-afgār kā
ḳhvāb-hā-e-aish ko kyā ho gayā
ye hī afsāna hai kyā thā kyā huā
āh-bar-lab chashm-e-pur-nam zard rau
hai pareshānī qayāmat mū-ba-mū
shahar thā ye sānī-e-ḳhuld-barīñ
is chaman ke gul hue sahrā-nashīñ