ġham kī chhā jā.egī duniyā meñ ghaTā mere ba.ad
aur barseñge bahut tīr-e-balā mere ba.ad
dekhnā hashr kyā hotā hai ki jab aa.egī
dar-o-dīvār se rone kī sadā mere ba.ad
bijliyāñ chamkeñgī ālām-o-masā.ib kī agar
ġham kī chal jā.egī har samt havā mere ba.ad
apnī Thokar se mirī qabr ko Dhāyā aa kar
zulm ye aur bhī zālim ne kiyā mere ba.ad
aaj dil khol ke tum zulm-o-sitam kar Daalo
phir chalāoge kahāñ teġh-e-jafā mere ba.ad
merī sūrat se bhī chiḌh ho ga.ī paidā jin ko
ḳhuuñ rulā.egī unheñ merī vafā mere ba.ad
haath se apne miTāne pe tule ho lekin
kaun bhugtegā mohabbat kī sazā mere ba.ad
ḳhud hī pachhtāoge duniyā se miTā kar mujh ko
tum ko bedād kā aa.egā mazā mere ba.ad
apne bīmār-e-mohabbat ko na taḌpāo tum
phir dikhā lenā unheñ nāz-o-adā mere ba.ad
vo bahāne lage āñkhoñ se lahū ke aañsū
rañg le aa.ī hai ye merī vafā mere ba.ad
'āftāb' aaj mohabbat ne asar dikhlāyā
un ke siine meñ bhī ab dard uThā mere ba.ad