Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

jazbaat-e-aftab

Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

aah meñ ai dil-e-mazlūm asar paidā kar
jis meñ saudā-e-mohabbat ho vo sar paidā kar
ġham kā tūfāñ bhī agar aa.e to kuchh fikr na kar
qaum kā dard har ik dil meñ magar paidā kar
zulmat-e-ġham kā nishāñ tak na nazar aa.e kahīñ
vo ḳhayālāt kī duniyā meñ sahar paidā kar
sarfaroshoñ kī tarah pahle miTā de ḳhud ko
hind kī ḳhaak se phir la.al-o-gohar paidā kar
aag be-faiz kī daulat ko lagā de yārab
kaam aa.e jo ġharīboñ ke vo zar paidā kar
aaj bhī qaum ke sheroñ kā lahū hai tujh meñ
hausla raam kā bhisham kā jigar paidā kar
hoñ hanūmān aur 'añgad' se hazāroñ yodhdhā
saiñkaḌoñ bhiim aur arjun se bashar paidā kar
āsmāñ kāñptā hai naam se jin ke ab tak
aaj phir qaum meñ vo laḳht-e-jigar paidā kar
phir zarūrat hai javāñ mardoñ kī ai mādar-e-hind
rānā-pratāp se ḳhuddār bashar paidā kar
ahd-e-rafta meñ janam tū ne diyā thā jin ko
mādar-e-hind vahī nūr-e-nazar paidā kar
chain rāhat se agar umr basar karnī hai
dil meñ aġhyār ke bhī uns se ghar paidā kar
gar tamannā hai ki ho saarā zamāna apnā
jazba-e-ishq-o-mohabbat kī nazar paidā kar
'āftāb' ab tirī taqdīr kā chamkegā zarūr
mard ban kar koī duniyā meñ hunar paidā kar
Top Urdushayar.com