Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

muraqqa-e-ibrat

Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

jalva-e-husn-e-azal aa.e tasavvur meñ agar
gosha-e-dil meñ machalte hue armāñ hoñge
ik hasīñ gor-e-ġharībāñ pe huā yuuñ goyā
ye bhī kambaḳht kabhī hazrat-e-insāñ hoñge
paañv rakhte bhī nazākat se agar hoñge kahīñ
be-badal husn-e-jahāñ-soz pe nāzāñ hoñge
phuul bistar pe bichhāne ko agar hāsil the
sair ke vāste baaġh aur gulistāñ hoñge
itr malne ke liye kapḌe badalne ke liye
mahl-o-aivāñ meñ bahut dast-e-hasīnāñ hoñge
nit-na.ī roz mayassar thī unheñ bazm-e-surūd
dil bahalne ke liye saiñkaḌoñ sāmāñ hoñge
ek lamha bhī guzartā thā jo tanhā.ī meñ
muztarib aur pareshān ye zīshāñ hoñge
gor-o-marqad pe yūñhī sair ko aate hoñge
aur sīnoñ meñ liye hasrat-o-armāñ hoñge
kyā ḳhabar thī ki ujaḌ jā.egā gulzār-e-hayāt
ek jhoñke se havā ke na ye sāmāñ hoñge
kyā yūñhī maut miTā.egī jahāñ se ham ko
kyā yūñhī apne liye dasht-o-bayābāñ hoñge
zindagī meñ na kareñge jo bashar kār-e-savāb
vaqt-e-ruḳhsat vo pareshān-o-pashemāñ hoñge
'āftāb' un kī samajhtā huuñ hayāt-e-abadī
jo bashar dharm pe sau-jān se qurbāñ hoñge
Top Urdushayar.com