Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

ruh-e-taghazzul

Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

maiñ apne qalb meñ jab nūr-e-irfāñ dekh letā huuñ
to har zarra meñ ik ḳhurshīd-e-tābāñ dekh letā huuñ
miTā kar apnī hastī rāh-e-haq meñ khul ga.iiñ āñkheñ
ki mar kar zindagī kā rāz-e-pinhāñ dekh letā huuñ
haqīqī ishq kā jazba hai dil meñ jis kī barakat se
hayāt aur maut ke asrār-e-uryāñ dekh letā huuñ
kiye haiñ ishq aur ulfat ke saare marhale jab tai
to duniyā bhar kī har mushkil ko āsāñ dekh letā huuñ
chhupā saktā nahīñ tū ḳhud ko mujh se laakh pardoñ meñ
tirī sūrat har ik shai meñ numāyāñ dekh letā huuñ
kahānī kyā sunā.ūñ dil-jaloñ kī ġham ke māroñ kī
ki uThtā chār-sū ik ġham kā tūfāñ dekh letā huuñ
taḌap hai dard hai rañj-o-alam hai be-qarārī hai
ye mulk aur qaum kā hāl-e-pareshāñ dekh letā huuñ
isī pyāre vatan hindostāñ kī ġhair hālat hai
ki jis par ġhair ko bhī aaj nāzāñ dekh letā huuñ
nikaltī hai agar ik aah bhī mazlūm ke dil se
zamīñ se arsh tak har shai ko larzāñ dekh letā huuñ
ghaTā.eñ ġham kī sar par chhā ga.iiñ jo hind vāloñ ke
dar-o-dīvār ko bhārat ke giryāñ dekh letā huuñ
abhī hindostāñ ke din bhale aa.e nahīñ shāyad
ki maiñ laḌte hue hindū musalmāñ dekh letā huuñ
na kyuuñ ai 'āftāb' aa.e nazar ummīd kī sūrat
ki jab taklīf meñ rāhat ke sāmāñ dekh letā huuñ
Top Urdushayar.com