larzā thā jis ke bachchoñ kā naam sun ke aalam
hotā thā jin ke aage sheroñ kā ḳhatm dam-ḳham
jin kā uḌā hamesha arsh-e-barīñ pe parcham
azmat kā jin kī Dañkā bajtā rahegā daa.im
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā
jis mulk meñ karoḌoñ be-misl the dilāvar
lākhoñ the bhiim arjun balrām shyām 'raghubar'
the tiir jin ke zevar bistar the jin ke ḳhanjar
rū-e-zamīñ pe jin kā paidā huā na ham-sar
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā
jis mulk par thā nāzāñ akbar sā shāh-e-āzam
uḌtā thā āsmāñ par shohrat kā jis kī parcham
thā adl kā zamāna insāf kā thā aalam
'hindū' musalmāñ donoñ rahte the mil ke bāham
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā
the kālīdās jaise jis desh meñ suḳhnavar
kyā chiiz un ke aage europe kā shakespeare
pāmāl ho chukā hai vo gulistāñ sarāsar
is ġhair-hāl meñ bhī hai kul jahāñ se behtar
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā
'gautam' se ilm-dāñ ko jis ne janam diyā thā
'mīrāñ' ne jis zamīñ par ḳhush ho ke sam piyā thā
'pātanjalī' ko paidā jis mulk ne kiyā thā
aalam ne falsafe kā jin se sabaq liyā thā
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā
godī meñ jis kī ab tak gaamā sā pahlvāñ hai
nazroñ meñ kal jahāñ kī jo rustam-e-zamāñ hai
tāqat kā jis kī qaa.il har piir aur javāñ hai
vo saiñkaḌoñ javānoñ pe aaj tak garāñ hai
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā
vo koh-e-nūr hiirā jis ne kiyā thā paidā
jis kī chamak se aksar shāhoñ kā taaj chamkā
hīroñ meñ kul jahāñ ke maanā gayā hai yaktā
mumkin nahīñ abad tak jis kā javāb milnā
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā
tagore se jahāñ huuñ shā.ir bhī aur hunar-var
jis kī zamīñ pe ab tak 'gāñdhī' hai aur javāhar
'abul-kalām' jaise jis mulk meñ hoñ leader
azmat kā jin kī sikka hai kul jahāñ ke dil par
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā
raanā ne jis zamīñ par kī teġh āzmā.ī
jis mulk par hazāroñ vīroñ ne jaañ gañvā.ī
sahrā meñ jis ke mohan ne bāñsurī bajā.ī
murda diloñ meñ ulfat kī aag sī lagā.ī
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā
jis mulk meñ thiiñ lākhoñ siitā sī pāk-dāman
teġhoñ ke saa.e meñ jo kartī thī dharm-pālan
shādāb ho rahā thā ismat kā jin se gulshan
qaa.il haiñ jin kī ismat ke dost aur dushman
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā
zarḳhez mulk koī jis ke nahīñ barābar
roz-e-azal se ab tak sarsabz hai sarāsar
kānoñ meñ aaj tak bhī jis ke haiñ siim aur zar
jis kī zamīñ ugaltī hai la.al aur javāhar
hindostāñ vahī hai pyārā vatan hamārā