shaam lauT aa.ī ghanī tārīkī
ab na aa.egī ḳhabar raahī kī
jaagī tāroñ kī har ik rāh-guzār
duur uḌtā nazar aatā hai ġhubār
kis kī raah taktī ho kaun aane lagā
kyā tumheñ bhī koī bahkāne lagā
un kī āñkheñ haiñ ki ḳhvāboñ kā fusūñ
un kī bāteñ haiñ ki ulfat kā junūñ
nīm-shab niiñd ke maate taare
raah tak tak ke kisī kī haare
kis qadar sachchī thiiñ un kī bāteñ
un ke saath aa.ī ga.ī thiiñ rāteñ
maiñ bhī samjhī thī use dil ke qarīb
merī ma.asūm bahan merī raqīb
kyā kahā aapā nahīñ chup rahiye
achchhā kah Dāliye kahiye kahiye
sub.h ruk ruk ke sitāre Duube
ġham na khaao ki jo haare Duube
aapā jī bhar ke mujhe rone deñ
ġham kī maujoñ meñ fanā hone deñ