Zia Jalandhari

buland peDon ke sabz patton mein sath-e-dariya ki silwaTon par

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
buland peḌoñ ke sabz pattoñ meñ sat.h-e-dariyā kī silvaToñ par
havā ke jhoñkoñ se dhuup ke jhilmilāte taare thirak rahe haiñ
ḳhunuk havā jaise kāñch kī tez kircheñ rag rag ko chīrtī haiñ
ḳhunuk havā jaise talḳh mai kā.enāt ke jism meñ ravāñ hai
ye kashtiyāñ barf se Dhakī niilī choTiyoñ par nazar jamā.e
havā se Takrātī sard paanī ko kāTtī baḌhtī jā rahī haiñ
ye qahqahe shoḳh shoḳh bāteñ ye hañste chehroñ kā ek jhurmuT
nazar nazar meñ gudāz kirnoñ kī aañch mahsūs ho rahī hai
kisī kināre ke tiira sāyoñ meñ bhuul aa.e haiñ bār-e-ġham ko
vo barf kī choTiyāñ nigāhoñ ke dā.eroñ meñ bhar rahī haiñ
kahīñ bahut duur chhoḌ aa.e haiñ aaj behis imāratoñ ko
jo apne siine meñ tīrgī kā dhuāñ dabā.e sisak rahī thiiñ
sulagtī chiñgāriyāñ jahāñ baḌhtī raakh meñ dab ke so ga.ī thiiñ
jahāñ fasurda ġhubār meñ zindagī to kyā maut bhī nahīñ thī
kahīñ unhī choTiyoñ se ab vo imārateñ phir ubhar na aa.eñ
Top Urdushayar.com