Zia Jalandhari

kahi an-kahi

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
lafz tasvīreñ banāte tire hoñToñ se uThe the lekin
dekhte dekhte tahlīl hue
phir tire hāthoñ kā lams aise mulā.em alfāz
terī āñkhoñ kī chamak raushan o mub.ham alfāz
lafz phir ruup badal kar mire dil meñ larze
shauq-e-iz.hār meñ be-tāb hue
jaane kyā baat thī kyā samjhe log
har koī apne hī lafzoñ meñ magan
aur phir lafz ki rahte haiñ gurezāñ ḳhud se
kaun suntā hai unheñ? kaun samajhtā hai unheñ?
aur ab maiñ huuñ vo ik lafz-e-ġharīb
koī pūchhe bhī to chup rahtā huuñ
Top Urdushayar.com