bazm-e-ḳhvāhish ke nau-vārido
tum nahīñ jānte
kaise bichhḌe hue dostoñ kā ḳhayāl
dhundlī āñkhoñ meñ rahtā hai roke hue āñsuoñ kī misāl
tum jahāñ ho vahāñ phūl-rut hai abhī
reshmī ḳhushbuoñ meñ basī chāhatīñ haiñ vahāñ
tum hamāre shab o roz ke aa.ine ho
vo chehre tumhāre ḳhad-o-ḳhāl se jhāñkte haiñ
zamāna huā
sar-zamīn-e-tamannā pe fasl-e-gul aane ko thī
vo jo ruḳhsat hue
jo añdheroñ meñ haq ke alam le ke nikle the
ham kahāñ se kahāñ aa ga.e haiñ magar
ab bhī dastūr-e-duniyā vahī hai ki thā
ai jahāñ ko badalne ke ḳhvāhāñ javāno suno
vaqt ke chaak par giilī miTTī ke mānind hai aadmī