Zia Jalandhari

hum

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012

1

bichhī huī hai bisāt kab se

bisāt be-jumbish aur be-his hai

apne mohroñ se lā-ta.alluq hai

vajūd hādis vajūd mohre

bisāt-e-sākit vus.atoñ meñ

zamīn ahl-e-zamīn aflāk ahl-e-aflāk

bisāt par jo bhī hai

vo hone mohlatoñ meñ asiir

jahāñ pahāḌoñ ke āsmāñ-bos silsile haiñ

vahāñ kabhī bahr maujzan the

ham aise mohre

jinheñ irāde diye ga.e haiñ

jo hai jo ab tak huā hai jo ho rahā hai

us se kise mafar hai

nahīf sho.ala jamāl koñpal

jo dast-e-nāzuk narm poroñ se dhīre dhīre

vo be-ḳhabar hai

ki shātir-e-vaqt nazar meñ

falak se anvār

koh se chashme

tumhārī āñkhoñ muskurāhaT meñ

merī chāhat raushnī hai

vidā.a ke vaqt āñsuoñ meñ

vo saare manzar jhalak rahe haiñ

nahīñ mujhe is tarah na dekho

ki jaise nazroñ meñ ruuh tak umDī aa rahī ho

havā.eñ masmūm ho chukī haiñ

shajar phaloñ se lade haiñ lekin

vo der se intizār-gah meñ

har aane vaale ko nazroñ nazroñ meñ nāptī thī

vo shaam ke vaqt ḳhuuñ meñ lat-pat

saḌak ke kināre paḌā huā thā

ye naġhma-e-kā.enāt be-surī sadā.eñ haiñ

koī in se najāt rāsta batāo

bisāt-e-sākit se koī shikva

na shātir-e-vaqt se gila hai

ajab tazādāt muraqqa.a hai aadmī bhī

vo ahrman bhī hai aur yazdāñ-jamāl bhī hai

zamīn pe qābīl ke qabīle rasm-e-be-dād auj par hai

magar hamārā azaab is se bhī talḳh-tar hai

hamāre ḳhvāboñ se Dar rahe haiñ

vo Dar rahe haiñ ki ḳhvāb alfāz meñ Dhale to

ham aise mohre

jinheñ irāde diye ga.e haiñ

hameñ shikasteñ huiiñ magar har shikast mahmez ho ga.ī hai

hamāre sāthī gire pa raftār aur kuchh tez ho ga.ī hai

Top Urdushayar.com