nashsha-e-bada kā ḳhamyāza tan-o-jāñ kā ḳhumār
dard añg añg kā āñkhoñ kī jalan dil kā azaab
ai ki tū bāda-e-sar-josh kā mutamannī hai
tū ne sochā hai kabhī apnī tamannā kā ma.aal
maiñ ki is karb-e-qayāmat se huuñ āgāh mujhe
peshkash jaam kī karte hue ḳhauf aatā hai
jaam hāzir hai ki maiñ aur mirā mashrab-e-ḳhās
buḳhl se ek bhī pahlū se nahīñ hai mansūb