resha resha giit kā goTā har ik añg meñ raqs
saañs ke bhītar koyal bole panchhī jaisā shaḳhs
uñglī ke chhalle meñ raaj kamal ke gore pañkh
haa.e re morī piit nigoḌī haa.e re more pañkh
gāloñ par ġhāze ke pīchhe dard ke sūkhe phuul
lachkīlī bāñhoñ kī shāḳhoñ par nafrat kī dhuul
Thumrī ke boloñ meñ pinhāñ aklāpe kā bain
din āñkhoñ meñ kaT jaatā hai kaise kaTe ye rain
qaus-e-quzah se pairāhan meñ sundar sundar jism
hoñToñ kī phislan par girtā paḌtā korā ism
kaalī kaalī qismat un kī niile piile ḳhvāb
itne rañgoñ meñ apnī pahchān bhī ek azaab