Ufuq Lakhnavi

basant aur holi ki bahaar

Ufuq Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1864-1913
saaqī kuchh aaj tujh ko ḳhabar hai basant kī
har sū bahār pesh-e-nazar hai basant kī
sarsoñ jo phuul uTThī hai chashm-e-qayās meñ
phūle-phale shāmil haiñ basantī libās meñ
patte jo zard zard haiñ sone ke paat haiñ
sadbarg se talā.ī kiran phuul maat haiñ
haiñ chūḌiyoñ kī joḌ basantī kalā.ī meñ
ban ke bahār aa.ī hai dast-e-hinā.ī meñ
mastī bhare diloñ kī umañgeñ na pūchhiye
kyā mantiqeñ haiñ kyā haiñ tarañgeñ na pūchhiye
māthe pe husn-ḳhez hai jalva gulāl kā
biñdī se auj par hai sitāra jamāl kā
geñdoñ se mā.il-e-gul-e-bāzī hasīn haiñ
sar ke ubhār par se dupaTTe mahīn haiñ
aks-e-naqāb zīnat-e-ruḳhsār ho gayā
zevar jo siim kā thā talā-kār ho gayā
sarsoñ ke lahlahāte haiñ khet is bahār meñ
nargis ke phuul phuul uThe lāla-zār meñ
āvāz hai papīhoñ kī mastī bharī huī
tuutī ke bol sun ke tabī.at harī huī
koyal ke joḌe karte haiñ chuhleñ surūr se
aate haiñ taan uḌāte hue duur duur se
baur aam ke haiñ yuuñ chaman-e-kā.enāt meñ
motī ke jaise guchchhe hoñ zar-kār paat meñ
bheroñ kī guuñj mast hai har kisht-zār meñ
bansī bajāte kishn hai goyā bahār meñ
kesar kusūm kī ḳhuub dil-afzā bahār hai
geñdoñ kī har chaman meñ do-rūya qatār hai
ik aag sī lagā.ī hai Tesū ne phuul ke
kyā zard zard phuul khile haiñ babūl ke
hai isT devtāo ke mandir saje hue
haiñ zard zard phūloñ se kul dar saje hue
bas dev-jī ke laal kī jhāñkī ajiib hai
ānand be-hisāb diloñ ko nasīb hai
bansī jaḌāv sone kī lab se milī huī
dil kī kalī kalī hai nazar meñ khilī huī
pītāmbar nafīs kamar meñ kasā huā
ḳhushbū se haar phuul kī mandir basā huā
shānoñ pe bal paḌe hue zulf-e-siyāh ke
rādhā se baar baar ishāre nigāh ke
bāñkī adā.eñ dekh ke dil loT-poT hai
rutkām istirī ke kaleje pe choT hai
kānoñ meñ kunloñ kī chamak hai jaḌāv se
rādhā lajā.ī jaatī hai chanchal subhāv se
pyārī kā haath apnī baġhal meñ liye hue
āñkheñ sharāb-e-husn-e-javānī piye hue
dil rādhikā kā bāda-e-ulfat se chuur hai
kuhnī se Thelne kī adā kā zuhūr hai
chupkī khaḌī hai kishn ke ruḳh par nigāh hai
hai pahlū-e-jigar meñ jagah dil meñ raah hai
ulfat bharī jo bansī kī jānib nazar ga.ī
goyā basant kī raag kī dhun mast kar ga.ī
is chhab pe is siñgār pe dil se nisār 'ufuq'
qurbān ek baar nahīñ laakh baar 'ufuq'
ai kishn nāzirīñ ko mubārak basant ho
khelā jo apne vo abad tak basant ho
Top Urdushayar.com