Dilawar Figar

cricket aur mushaira

Dilawar Figar

Badayun, Uttar pradesh, India

1929-1998
mushā.ire kā bhī tafrīh aim hotā hai
mushā.ire meñ bhī cricket kā game hotā hai
vahāñ jo log khilāḌī haiñ vo yahāñ shā.er
yahāñ jo sadr-nashīñ hai vahāñ hai empire
vahāñ pe shart ki ho zor-e-bāzu-e-mahmūd
yahāñ ye qaid ki ho lahn-e-hazrat-e-dāōd
vahāñ tamaddun-e-mashriq kī maut kā ġham hai
yahāñ adab ke janāza pe shor-e-mātam hai
vahāñ riyāz-e-musalsal se kaam chaltā hai
yahāñ gale ke sahāre kalām chaltā hai
vahāñ bhī khel meñ no-ball ho to faul hai
yahāñ bhī sher meñ ihmāl ho to faul hai
vahāñ hai L.B.W yahāñ ye chakkar hai
ki andalīb muannas hai yā muzakkar hai
vahāñ bhī sirf muqaddar kā khel hotā hai
jo unlucky hai yahāñ bhī vo fail hotā hai
vahāñ hai ek hī kaptān puurī team kī jaan
yahāñ har ek player bajā.e ḳhud kaptān
vahāñ jo log anāḌī haiñ vaqt kāTte haiñ
yahāñ bhī kuchh mutashā.er dimāġh chāTte haiñ
huā kare agar score us kā zero hai
yahāñ jo shaḳhs phisaDDī hai vo bhī hero hai
nigāh jin kī pahuñchtī hai hashv o iitā par
banā diyā hai yahāñ un ko back stoper
adab-navāz pe shout yahāñ bhī hote haiñ
ye bad-nasīb ran-out yahāñ bhī hote haiñ
'hanīf' bhī koī bogus cricketer to nahīñ
magar 'asar' se ziyāda frē-hiter to nahīñ
bajā hai 'fazl' ke sixer pe marhabā kahnā
magar 'firāq' kī baundary kā kyā kahnā
mire ḳhayāl ko ahl-e-nazar kareñge catch
mushā.ira bhī hai ik tarah kā cricket match
Top Urdushayar.com