rahm ai naqqād-e-fan ye kyā sitam kartā hai tū
koī nok-e-ḳhār se chhūtā hai nabz-e-rañg-o-bū
shā.erī aur mantaqī bahseñ ye kaisā qatl-e-ām
bursh-e-miqrāz kā detā hai zulfoñ ko payām
kyuuñ uThā hai jins-e-shā.er ke parakhne ke liye
kyā shamīm-e-sumbul-o-nasrīñ hai chakhne ke liye
ai adab nā-āshnā ye bhī nahīñ tujh ko ḳhayāl
nañg hai bazm-e-suḳhan meñ madrase kī qīl-o-qāl
mantaqī kāñTe pe rakhtā hai kalām-e-dil-pazīr
kaash is nukte ko samjhe terī tab-e-harf-gīr
yaanī ik lai se lab-e-nāqid ko khulnā chāhiye
pañkhuḌī par qatra-e-shabnam ko tulnā chāhiye
sher-fahmī ke liye haiñ jo sharā.it be-ḳhabar
soch tū puurā utartā bhī hai us me.aar par
jalte dekhā hai kabhī hastī ke dil kā tū ne daaġh
aañch se jis kī ġhizā paatā hai shā.er kā dimāġh
dil se apne pūchh o zindāni-e-ilm-e-kitāb
husn-e-qudarat ko bhī dekhā hai bar-afganda-naqāb
tū patā asrār-e-hastī kā lagātā hai kabhī
ālam-e-mahsūs se bāhar bhī jaatā hai kabhī
kyā vahāñ bhī uḌ ke pahuñchā hai kabhī ai nukta-chīñ
kāñptā hai jis fazā meñ shahpar rūh-ul-amīñ
ḳhāmushī kī naġhma-rezī par bhī sar dhuntā hai tū
qalb-e-fitrat ke dhaḌakne kī sadā suntā hai tū
ab butoñ kī bazm meñ tū bhī huā hai bāryāb
ḳhaak ko parchhā.iyāñ jin kī banātī haiñ gulāb
jo tabassum chhīn lete haiñ shab-e-mahtāb se
jin kī barnā.ī jagātī hai diloñ ko ḳhvāb se
sach batā tū bhī hai kyā ai kushta-e-sad-hirs-o-āz
rāz-dān-e-kākul-e-shab-rañg o chashm-e-nīm-bāz
terī nabzoñ meñ bhī machlī hai kabhī bijlī kī rau
soz-e-ġham se terā dil bhī kyā kabhī detā hai lau
sach batā ai āshiq-e-derīna-e-fikr-e-ma.āsh
zahr meñ tiryāk ke unsur kī bhī kī hai talāsh
mujh se āñkheñ to milā ai dushman-e-soz-o-gudāz
tujh pe kyā azdād kī tauhīd kā ifshā hai raaz
terī rātoñ kī siyāhī meñ bhī ai zulmat-ma.āb
kyā kabhī taal.e huā hai muskurā kar āftāb
tū gayā bhī hai nigār-e-ġham kī mahmil ke qarīb
aañch sī mahsūs hotī hī kabhī dil ke qarīb
taur-e-ma.anī par bhī ai nā-faham chaḌh saktā hai tū
kyā musannif kī kitāb-e-dil bhī paḌh saktā hai tū
ye nahīñ to pher le āñkheñ ye jalva aur hai
terī duniyā aur hai shā.er kī duniyā aur hai
sher kī tahlīl se pahle mirī taqrīr sun
ḳhud zabān-e-sher se aa sher kī tafsīr sun
dil meñ jab ash.ār kī hotī hai bārish be-shumār
nutq par būñdeñ Tapak paḌtī haiñ kuchh be-iḳhtiyār
Dhaal letī hai jinheñ shā.er kī tarkīb-e-adab
Dhal ke go vo gauhar-e-ġhaltāñ kā paatī haiñ laqab
aur hotī haiñ tajallī-baḳhsh tāj-e-zar-fishāñ
phir bhī vo shā.er kī nazroñ meñ haiñ ḳhālī sīpiyāñ
jin ke asrār-e-daraḳhshāñ ruuh kī mahfil meñ haiñ
sīpiyāñ haiñ nutq kī maujoñ pe motī dil meñ haiñ
shā.erī kā ḳhānamāñ hai nutq kā luuTā huā
us kā shīsha hai zabāñ kī Thes se TuuTā huā
chhā.e rahte haiñ jo shā.er ke dil-e-sarshār par
TuuT kar aate haiñ vo naġhme lab-e-guftār par
jāgte rahte haiñ dil kī mahfil-e-ḳhāmosh meñ
band kar lete haiñ āñkheñ nutq ke āġhosh meñ
log jin kī jāñ-gudāzī se haiñ dil pakḌe hue
khokhle naġhme haiñ vo auzān meñ jakḌe hue
sher ho jaatā hai sirf ik jumbish-e-lab se niDhāl
saañs kī garmī se paḌ jaatā hai is shīshe meñ baal
jaam meñ aate hī uḌ jaatī hai shā.er kī sharāb
TuuT jaatā hai kināre aate aate ye hubāb
is se baḌh kar aur ho saktī hai kyā hairat kī baat
sher ko samjhā agar shā.er kī tū ne kā.enāt
sher kiyā jazb-e-darūñ kā ek naqsh-e-nā-tamām
mushtaba sā ik ishāra ek mub.ham sā kalām
kaif meñ ik ''laġhzish-e-pā'' click-e-gauhar-bār kī
''iztirārī ek jumbish sii'' lab-e-guftār kī
''ek saut-e-ḳhasta-o-mauhūm sāz-e-zauq kii''
''murta.ish sī ek āvāz'' intihā-e-shauq kī
be-haqīqat nai ke andar zamzama dā.ūd kā
āriz-e-mahdūd par ik aks lā-mahdūd kā
'sher' kyā aql o junūñ kī mushtarak bazm-e-jamāl
'sher' kyā hai ishq o hikmat kā maqām-e-ittisāl
zulmat-e-ib.hām meñ parchhā.īñ tafsīlāt kī
pech o ḳham khāte bagūle meñ chamak zarrāt kī
jū-e-qudarat kī ravānī dasht-e-masnūāt meñ
TūTnā rañgīñ sitāre kā añdherī raat meñ
sher kyā hai niim bedārī meñ bahnā mauj kā
barg-e-gul par niiñd meñ shabnam ke girne kī sadā
tar-zabānī aur ḳhāmoshī kī mub.ham guftugū
lafz o ma.anī meñ tavāzun kī nahufta aarzū
bādaloñ se māh-e-nau kī ik uchaTtī sī ziyā
jhāñknā qatre ke rauzan se urūs-e-bahr kā
mar ke bhī tū shā.erī kā bhed pā saktā nahīñ
aql meñ ye mas.ala nāzuk hai aa saktā nahīñ
tū samajhtā thā jo kahnā chāhiye thā kah gayā
pūchh shā.er se ki vo kyā kah sakā kyā rah gayā
kaun samjhe sher ye kaise haiñ aur kaise nahīñ
dil samajhtā hai ki jaise dil meñ the vaise nahīñ