Josh Malihabadi

kya gul-badani hai

Josh Malihabadi

1898-1982
kis darja fusūñ-kār vo allāh ġhanī hai
kyā mauja-e-tābindagī o sīm-tanī hai
ye lai hai ki khiltī huī ġhunche kī kamānī
mahkā huā ye tan hai ki ye raat kī raanī
mehrāb hai ruḳhsār ke partav se zar-afshāñ
zulfoñ meñ shab-e-tār hai āñkhoñ meñ charāġhāñ
siine pe ye pallū hai ki ik mauj-e-hayābī
māthā hai ki ik sub.h kā partav hai shahābī
kākul meñ daraḳhshāñ hai ye peshānī-e-raqsāñ
yā sāya-e-zulmāt meñ hai chashma-e-haivāñ
ishve haiñ ki ik fauj khaḌī luuT rahī hai
chhal-bal hai ki chhātī ko zamīñ kuuT rahī hai
tan meñ hai vo ḳhushbū ki haiñ gul sar-ba-garebāñ
chehre pe vo surḳhī hai ki hairān gulistāñ
gardan meñ chañdan-hār hai hāthoñ meñ hai kañgan
umDe hue ishve haiñ garajtā huā jauban
ḳhalvat meñ vo taslīm hai jalvat meñ tahakkum
sāhil pe subuk-mauj safīne meñ talātum
har naqsh-e-qadam par hai fidā tāj-e-kayānī
har gaam meñ hai chashma-e-kausar kī ravānī
Top Urdushayar.com