Josh Malihabadi

watan

Josh Malihabadi

1898-1982
ai vatan paak vatan rūh-e-ravān-e-ahrār
ai ki zarroñ meñ tire bu-e-chaman rañg-e-bahār
paa.ī ġhunchoñ meñ tire rañg kī duniyā ham ne
tere kāñToñ se liyā daras-e-tamannā ham ne
terī hī gardan-e-rañgīñ meñ haiñ bāñheñ apnī
tere hī ishq meñ haiñ sub.h kī aa.heñ apnī
pahle jis chiiz ko dekhā vo fazā terī thī
pahle jo kaan meñ aa.ī vo sadā terī thī
ai vatan aaj se kyā ham tire shaidā.ī haiñ
aañkh jis din se khulī tere tamannā.ī haiñ
husn tere hī manāzir ne dikhāyā ham ko
terī hī sub.h ke naġhmoñ ne jagāyā ham ko
tujh se muñh moḌ ke muñh apnā dikhā.eñge kahāñ
ghar jo chhoḌeñge to phir chhāvnī chhā.eñge kahāñ
ai vatan josh hai phir quvvat-e-īmānī meñ
ḳhauf kyā dil ko safīna hai jo tuġhyānī meñ
ham zamīñ ko tirī nāpāk na hone deñge
tere dāman ko kabhī chaak na hone deñge
Top Urdushayar.com