Josh Malihabadi

husn aur mazduri

Josh Malihabadi

1898-1982
ek doshīza saḌak par dhuup meñ hai be-qarār
chūḌiyāñ bajtī haiñ kañkar kūTne meñ baar baar
chūḌiyoñ ke saaz meñ ye soz hai kaisā bharā
aañkh meñ aañsū banī jaatī hai jis kī har sadā
gard hai ruḳhsār par zulfeñ aTī haiñ ḳhaak meñ
nāzukī bal khā rahī hai dīda-e-ġhamnāk meñ
ho rahā hai jazb mahr-e-ḳhūñ-chakāñ ke rū-ba-rū
kañkaroñ kī nabz meñ uThtī javānī kā lahū
dhuup meñ lahrā rahī hai kākul-e-ambar-sarisht
ho rahā hai kam-sinī kā loch juzv-e-sañg-o-ḳhisht
pī rahī haiñ surḳh kirneñ mahr-e-ātish-bār kī
nargisī āñkhoñ kā ras mai champa.ī ruḳhsār kī
ġham ke bādal ḳhātir-e-nāzuk pe haiñ chhā.e hue
āriz-e-rañgīñ haiñ yā do phuul murjhā.e hue
chīthaḌoñ meñ dīdanī hai rū-e-ġhamgīn-e-shabāb
abr ke āvāra TukḌoñ meñ ho jaise māhtāb
uf ye nādārī mire siine se uThtā hai dhuāñ
aah ai aflās ke maare hue hindostāñ!
husn ho majbūr kañkar toḌne ke vāste
dast-e-nāzuk aur patthar toḌne ke vāste
fikr se jhuk jaa.e vo gardan tuf ai lail o nahār
jis meñ honā chāhiye phūloñ kā ik halkā sā haar
āsmāñ jān-e-tarab ko vaqf-e-rañjūrī kare
sinf-e-nāzuk bhuuk se tañg aa ke mazdūrī kare
us jabīñ par aur pasīna ho jhalakne ke liye
jo jabīn-e-nāz ho afshāñ chhiḌakne ke liye
bhiik meñ vo haath uTTheñ iltijā ke vāste
jin ko qudarat ne banāyā ho hinā ke vāste
nāzukī se jo uThā saktī na ho kājal kā baar
un subuk palkoñ pe baiThe raah kā bojhal ġhubār
kyuuñ falak majbūr hoñ aañsū bahāne ke liye
añkhḌiyāñ hoñ jo diloñ meñ Duub jaane ke liye
muflisī chhāñTe use qahr-o-ġhazab ke vāste
jis kā mukhḌā ho shabistān-e-tarab ke vāste
fart-e-ḳhushkī se vo lab tarseñ takallum ke liye
jin ko qudarat ne tarāshā ho tabassum ke liye
nāznīnoñ kā ye aalam māthar-e-hind aah aah
kis ke jaur-e-nā-ravā ne kar diyā tujh ko tabāh?
hun barastā thā kabhī din raat terī ḳhaak par
sach batā ai hind tujh ko khā ga.ī kis kī nazar
baaġh terā kyuuñ jahannam kā namūna ho gayā
aah kyuuñ terā bharā darbār suunā ho gayā
sar-barahna kyuuñ hai vo phūloñ kī chādar kyā huī
ai shab-e-tārīk terī bazm-e-aḳhtar kyā huī
jis ke aage thā qamar kā rañg phīkā kyā huā
ai urūs-e-nau tire māthe kā Tiikā kyā huā
ai ḳhudā hindostāñ par ye nahūsat tā-kujā?
āḳhir is jannat pe dozaḳh kī hukūmat tā-kujā?
gardan-e-haq par ḳharāsh-e-teġh-e-bātil tā-ba-kai?
ahl-e-dil ke vāste tauq-o-salāsil tā-ba-kai?
sar-zamīn-e-rañg-o-bū par aks-e-gulḳhan tā-kujā?
paak siitā ke liye zindān-e-rāvan tā-kujā?
dast-e-nāzuk ko rasan se ab chhuḌānā chāhiye
is kalā.ī meñ to kañgan jagmagānā chāhiye
Top Urdushayar.com