Josh Malihabadi

manazir-e-sahar

Josh Malihabadi

1898-1982
kyā rūh-fazā jalva-e-ruḳhsār-e-sahar hai
kashmīr dil-e-zār hai firdaus-e-nazar hai
har samt bhaḌaktā hai ruḳh-e-hūr kā sho.ala
har zarra-e-nāchīz meñ hai tuur kā sho.ala
larzish vo sitāroñ kī vo zarroñ kā tabassum
chashmoñ kā vo bahnā ki fidā jin pe tarannum
uḌte hue gesū vo nasīm-e-saharī ke
shānoñ pe pareshān haiñ yā baal parī ke
vo phailnā ḳhushbū kā vo kaliyoñ kā chaTaknā
vo chāñdnī maddham vo samundar kā jhalaknā
shāḳhoñ se milī jaatī haiñ shāḳheñ vo asar hai
kahtī hai nasīm-e-saharī īd-e-sahar hai
ḳhunkī vo bayābāñ kī vo rañgīni-e-sahrā
vo vādī-e-sarsabz vo tālāb-e-musaffā
har samt gulistāñ meñ vo ambār guloñ ke
shabnam se vo dho.e hue ruḳhsār guloñ ke
vo ruuh meñ anvār-e-ḳhudā sub.h vo sādiq
vo husn jise dekh ke har aañkh ho āshiq
vo naġhma-e-dā.ūd parindoñ kī sadā meñ
pairāhan-e-yūsuf kī vo tāsīr havā meñ
vo barg-e-gul-e-tāza vo shabnam kī latāfat
ik husn se vo ḳhanda-e-sāmān-e-haqīqat
nāqūs ke siine se sadā.eñ vo fuġhāñ kī
vo hamd meñ Duubī huī āvāz azaañ kī
aaqā kā ġhulāmoñ se ye hai qurb kā hañgām
dil hote haiñ sarshār fanā hote haiñ ālām
rone meñ jo lazzat hai to aahoñ meñ mazā hai
ai ruuh ḳhudī chhoḌ ki nazdīk ḳhudā hai
Top Urdushayar.com