Josh Malihabadi

muflis

Josh Malihabadi

1898-1982
zof se āñkhoñ ke nīche titliyāñ phirtī huī
auj-e-ḳhuddārī se dil par bijliyāñ girtī huī
laash kāñdhe par ḳhud apne jazba-e-takrīm kī
multajī chehre pe lahreñ sī ummīd-o-bīm kī
izzat-e-ajdād ke sar par damā-dam Thokareñ
rishta-e-āvāz par lafzoñ kī paiham Thokareñ
chehra-e-afsurda par ThanDā pasīna sharm kā
sust nabzeñ bhiik kā lahje ke andar Thīkrā
qarz kī darḳhvāst kī uljhī huī taqrīr meñ
kapkapī a.asāb kī bechain dil kī larzisheñ
ik taraf hājat kī shiddat ik taraf ġhairat kā josh
nutq par harf-e-tamannā dil meñ ġhusse kā ḳharosh
jumbish-e-mizhgāñ ke zer-e-sāya nādārī kī raat
jauhar-e-insāniyat joḌe hue āñkhoñ meñ haat
saañs dahshat se zamīñ kī āsmāñ roke hue
muflisī mardāna lahje kī inaañ roke hue
lab pe ḳhushkī ruḳh pe zardī aañkh sharmā.ī huī
chashm o abrū meñ ḳhudī kī aag kajlā.ī huī
nafas meñ sherāna tevar aarzū rūba-mizāj
ehtiyāj o ehtiyāj o ehtiyāj o ehtiyāj!
Top Urdushayar.com