ik za.īfa rāste meñ so rahī hai ḳhaak par
murdanī chhā.ī huī hai chehra-e-ġhamnāk par
aur kis mausam meñ jab tā.ūn hai phailā huā
zarra zarra hai vabā ke ḳhauf se simTā huā
raat aadhī aa chukī hai bām-o-dar ḳhāmosh haiñ
ahl-e-daulat laila-e-ishrat se ham-āġhosh haiñ
is qayāmat kī hai taarī zulmat-e-haul-āfrīñ
shab ke dil meñ sub.h kā goyā tasavvur tak nahīñ
pīchhe pīchhe aa rahā hai kaun ye kyā baat hai
baj rahe haiñ kaan uff kaisī bhayānak raat hai
halqa-e-zulmat meñ hai rāhoñ kī sahmī raushnī
yā chamaktī haiñ ghanī jhāḌī se āñkheñ sher kī
larza-bar-andām hai sehn-e-zamīñ kā arz-o-tūl
ho rahā hai ḳhaak par nāpāk rūhoñ kā nuzūl
aa rahī haiñ āsmāñ se ye sadā.eñ dam-ba-dam
dekh asbāb-e-halākat par na paḌ jaa.e qadam
bām-o-dar par maut kā parcham hai lahrāyā huā
aa rahī hai har qadam par bū-e-anfās-e-vabā
rauñgTe saare khaḌe haiñ saañs lenā hai vabāl
al-amāñ shor-e-sagān-e-rāh o ġhoġhā-e-shaġhāl
uf laraztī ḳhaufnāk āvāz chaukīdār kī
nabz chhūTī jā rahī hai gumbad-e-davvār kī
chupke chupke saañs lene se ghuTā jaatā hai dam
rakh rahā huuñ bolte zarroñ pe ruk ruk kar qadam
ibrat o dahshat kā ḳhanjar hai dil-e-ġhamnāk par
haa.e ye be-dam paḌā hai kaun ThanDī ḳhaak par
aah ai be-kas za.īfa ġham kī taḌpā.ī huī
ai zamāne kī jhinjhoḌī zar kī Thukrā.ī huī
mere dil ke aa.ine ko kar rahā hai chuur chuur
tere sar par rahguzar kī sham.a kā halkā sā nuur
ye tire sar kī safedī aur ye gard-e-malāl
meñ to kyā sharmā rahā hai ḳhud ḳhuda-e-zul-jalāl
bhuuk ke lashkar kā hai ruḳh par tire gard-o-ġhubār
ahd-e-razzāqī ke māthe par araq hai āshkār
tere bachche tere gardūñ ke sitāre kyā hue
ai za.īfa terī piirī ke sahāre kyā hue
aah ai dukhiyā ye kaisī pā.emālī ho ga.ī
Thokareñ khāne ko terī god ḳhālī ho ga.ī
so rahā hai terā vāris kis taraf pahne kafan
dafn hai kis des meñ terā urūsī bāñkpan
bazm-e-ishrat meñ dulhan kis ne banāyā thā tujhe
byaah kar kaun apne ghar meñ aah laayā thā tujhe
ḳhuun ruḳh par dauḌtā hogā tirī āvāz se
tujh ko paalā hogā terī maañ ne kis kis naaz se
Dāltī hogī tujhe nahlā-dhulā kar sar meñ tel
baap kā dil khīñchtā hogā tirī guḌiyoñ kā khel
paas kī tāsīr kyuuñ chehre pe duunī ho ga.ī
mā.ikā vīrāñ huā sasurāl suunī ho ga.ī
chāhne vaale tire sab turbatoñ meñ so ga.e
kheltī thī jin ghane bāġhoñ meñ vo kyā ho ga.e
uf-rī māyūsī kisī kā aasrā rakhtī nahīñ
shubah hotā hai ki tū shāyad ḳhudā rakhtī nahīñ
tū kahāñ kī rahne vaalī hai tirā kyā naam hai
bol tū kis dil-nashīñ āġhāz kā anjām hai
hind meñ insāniyat kā daur hī baaqī nahīñ
dard ho kis tarah koī mard hī baaqī nahīñ
mard hī hote to karte bekasoñ kā ehtirām
mard hī hote to rah sakte the yuuñ ban kar ġhulām
ḳhidmat-e-aġhyār se fursat koī paatā nahīñ
sach hai apnoñ par ġhulāmoñ ko taras aatā nahīñ
ai za.īfa nañg hai tū mulk-o-millat ke liye
tū hai ik dhabbā jabīn-e-ahl-e-daulat ke liye
ik khulī zillat hai adyān-o-milal ke vāste
tauq hai la.anat kā tū ahl-e-duval ke vāste
to va.īd-e-qahr hai arbāb-e-ishrat ke liye
bars kā ik daaġh hai rū-e-hukūmat ke liye
mujh ko hairat hai ki tujh ko dekh kar zār-o-nizār
gaḌ nahīñ jaate hayā se hākimān-e-zī-vaqār
dekh kar terā Dhalā mankā nahīñ hotā hai chuur
gardanoñ ke ḳham ko saḳhtī baḳhshne vaalā ġhurūr
paḌ nahīñ jaate ilāhī sīna-e-daulat meñ daaġh
bujh nahīñ jaate shabistān-e-imārat ke charāġh
apnī tāb-e-zar se ai sarmāya-dāro! hoshiyār
apne tājoñ kī chamak se tāj-dāro hoshiyār
nīlam-o-yāqūt se shole bhaḌak uThne ko haiñ
surḳh dīnāroñ meñ añgāre dahak uThne ko haiñ
farsh-e-gul vaalo zamīñ par log mahv-e-ḳhvāb haiñ
ḳhirmanoñ ke pāsbānoñ bijliyāñ betāb haiñ!!