Josh Malihabadi

KHatun-e-mashriq

Josh Malihabadi

1898-1982
ġhuncha-e-dil mard kā roz-e-azal jab khul chukā
jis qadar taqdīr meñ likkhā huā thā mil chukā
daf.atan gūñjī sadā phir ālam-e-anvār meñ
aurteñ duniyā kī hāzir hoñ mire darbār meñ
auratoñ kā kārvāñ par kārvāñ aane lagā
phir fazā meñ parcham-e-in.ām lahrāne lagā
naaz se hūreñ tarāne hamd ke gaane lagīñ
aurteñ bhar bhar ke apnī jholiyāñ jaane lagīñ
jab rahā kuchh bhī na baaqī kīsa-e-in.ām meñ
kāñptī hāzir huiiñ phir asia kī aurteñ
dil meñ ḳhauf-e-shuma.i-e-qismat se ghabrā.ī huī
ro.ab se nīchī nigāheñ aañkh sharmā.ī huī
hilm ke sāñche meñ rūh-e-nāz ko Dhāle hue
gardanoñ meñ ḳham saroñ par chādareñ Daale hue
āḳhir is andāz par rahmat ko pyaar aa hī gayā
mai-kade par jhuum kar abr-e-bahār aa hī gayā
muskurā kar ḳhāliq-e-arz-o-samā ne dī nidā
ai ġhazāl-e-mashriqī aa taḳht ke nazdīk aa
ye vahī dil hai jo mazrab hoke soz o saaz se
mere pahlū meñ dhaḌaktā thā ajab andāz se
tujh ko vo ruḳh apnī sīrat kā diye dete haiñ ham
jis meñ yazdānī nissā.iyat kī zulfoñ ke haiñ ḳham
aa ki tujh ko sāhib-e-mahr-o-vafā karte haiñ ham
le ḳhud apnī jumbish-e-mizhgāñ atā karte haiñ ham
pahlū-e-ḳhātūn-e-mashriq meñ ba-sad tamkīn o naaz
muntaqil ho jā ulūhiyat ke siine ke gudāz
aurteñ aqvām-e-ālam kī bhaTak jā.eñgī jab
tū rahegī ban ke us tūfāñ meñ ik mauj-e-tarab
husn ho jā.egā jab auroñ kā vaqf-e-ḳhās-o-ām
dīdanī hogā tire ḳhalvat-kade kā ehtimām
ālam-e-nisvāñ pe kaalī raat jab chhā jā.egī
ye tire māthe kī biñdī sub.h ko sharmā.egī
aurteñ bechaiñgī jab stage par bā-raqs-o-chañg
apnī āñkhoñ kī lagāvaT apne ruḳhsāroñ kā rañg
un ke aage har nayā maidān hogā jalva-gāh
aur tirā stage hogā sirf shauhar kī nigāh
godiyāñ phailā ke jab māñgeñgī bā-sidq-o-safā
aurteñ aulād ke paidā na hone kī duā
muzhda-bād ai asia kī duḳhtar-e-pākīza-tar
aañch aa.egī na tere madarāna zauq par
maaoñ kī ġhaflat se jab bachchoñ ko pahuñchegā gazand
jab fuġhāñ be-tarbiyat aulād kī hogī buland
sirf ik terā tabassum ai jamāl-e-tābnāk
sīna-e-atfāl meñ paidā karegā rūh-e-pāk
vo harārat tere hoñToñ kī na hogī pā.emāl
jiske sho.aloñ se nikhar jaatā hai rañg-e-naunihāl
vo tirī ma.asūm ra.anā.ī na hogī muzmahil
baḳhshatī hai nasl-e-insānī ke pahlū ko jo dil
vo bhī din aa.egā jab tujh ko hī ai mast-e-hijāb
zeb degā māthar-e-aulād-e-ādam kā ḳhitāb
jab karegī sinf-e-nāzuk apnī uryānī pe naaz
sirf ik tū is talātum meñ rahegī pāk-bāz
unke dil jab hoñge yād-e-ma.asiyat se paash paash
tere ruḳh par ek bhī hogī na maazī kī ḳharāsh
un kī rāteñ ḳhauf-e-rusvā.ī se hoñgī jab darāz
tere siine meñ kisī shab kā na hogā koī raaz
dahshat-e-fardā se tharrā.egā jab un kā ġhurūr
haal se tū hogī raazī ḳhauf-e-mustaqbil se duur
jab uḌegī un kī chashm-e-dām-e-parvarda meñ ḳhaak
narm Dore terī āñkhoñ ke raheñge tābnāk
narm hoñge tere jalve bhī tirī guftār bhī
bā-hayā hogī tirī pāzeb kī jhankār bhī
chhāñv bhī hogī na terī bazm-e-nāv-nosh meñ
terā partav tak rahegā sharm ke āġhosh meñ
ai shuā-e-arz-e-mashriq terī iffat kā shi.ār
kaj karegā mulk o millat kī kulāh-e-iftiḳhār
aabrū hogā gharāne bhar kī terā rakh-rakhāo
degā terā baap shān-e-faḳhr se moñchhoñ pe taav
terī āñkhoñ kī kiran se ai jahān-e-e'tibār
jagmagā.egī nasab-nāmoñ kī lauh-e-zar-nigār
bul-havas kā sar jhukā degī tirī adnā jhalak
hogī lahje meñ tire nabz-e-tahārat kī dhamak
terī peshānī pe jhalkegā misāl-e-barq-e-tūr
tifl kā nāz-e-sharāfat aur shauhar kā ġhurūr
ilm se har chand tujh ko kam kiyā hai bahra-mand
lekin is se ho na ai ma.asūm aurat dard-mand
jab zarūrat se ziyāda naaz farmātā hai ilm
āriz-e-tābāñ ke bhole-pan ko khā jaatā hai ilm
nutq ho jaatā hai ilmī istelāhoñ se udaas
la.al-e-lab meñ shahad kī baaqī nahīñ rahtī miThās
ilm uThā letā hai bazm-e-jāñ se sham-e-etaqād
ḳhāl-o-ḳhad kī maut hai chehre kī shān-e-ijtihād
qa.ar-e-vahshat kī taraf muḌtī hai aksar rāh-e-fan
jhāñktī rahtī hai is ġhurfe se chashm-s-ahraman
chhoḌ detī takallum ko mulā.em qīl-o-qāl
ilm kā had se guzar jaanā hai tauhīn-e-jamāl
ilm se baḌhtī hai aql aur aql hai vo bad-dimāġh
jo bujhā detī hai siine meñ mohabbat kā charāġh
ilm se baaqī nahīñ rahte mohabbat ke sifāt
aur mohabbat hai faqat le de ke terī kā.enāt
dekh tujh par ilm kī bharpūr paḌ jaa.e na zarb
bhaag is parde meñ haiñ shaitān ke ālāt-e-harb
ilm se rahtī hai pāband-e-shikan jis kī jabīñ
naaz se shānoñ par us kī zulf lahrātī nahīñ
vaqt se pahle bulā lete haiñ piirī ko uluum
umr se aage nikal jaate haiñ chehre bil-umūm
jin laboñ ko chaaT paḌ jaatī hai qīl-o-qāl kī
un kī garmī ko tarastī hai jabīñ atfāl kī
ik junūñ-parvar bagūlā hai vo ilm-e-be-vasūq
jis kī rau meñ kāñpne lagte haiñ shauhar ke huqūq
duur hī se aise ilm-e-jahl-parvar ko salām
husn-e-nisvāñ ko banā detā ho jo jāgīr-e-ām
jis jagah hūrān-e-jannat kā kiyā hai tazkira
kyā kahā hai aur bhī kuchh ham ne juz husn o hayā
tazkira hūroñ kā hai mahz ek tasvīr-e-jamāl
ham ne kyā unko kahā hai ''sāhib-e-fazl-o-kamāl''
hech hai har chiiz zevar ġhāza afshāñ rañg o ḳhaal
husn ḳhud apnī jagah hai sau kamāloñ kā kamāl
chāñdnī, qaus-e-quzah, aurat, shagūfa, lāla-zār
ilm kā in narm shānoñ par koī rakhtā hai baar?
raushnā.ī meñ kahīñ ghultī hai mauj-e-māhtāb
kyā koī aurāq-e-gul par tab.a kartā hai kitāb
mere aalam meñ nahīñ is bad-mazāqī kā shi.ār
kākul-e-afsāna ho dosh-e-haqīqat se do-chār
husn kā āġhosh-e-rañgīñ dil-fareb-o-dilrubā
ilm se ban jaa.e aqlīdas kā mahz ik dā.era!
mus.haf-e-rū-e-kitābī rū-kash-e-nāz-e-gulāb
aur ban jaa.e ye ne.amat daftar-e-ilm-e-hisāb
naġhma-e-shīrīñ ke dāman meñ ho shor-e-kā.enāt
bazm-e-kāvish meñ jale sham-e-shabistān-e-hayāt
garm ho tezāb kī khaulan se laale kā ayāġh
ġhuncha-e-nauras kā taaq aur pīr-e-maktab kā charāg
shahpar-e-bulbul pe khīñchī jaa.e tasvīr-e-shiġhāl!
motiyoñ par sabt ho tūfān kī mohr-e-jalāl
sub.h ġharq-e-bahas ho ġhunche khilāne ke evaz
dars deñ maujeñ sabā kī gungunāne kī evaz
tū na karnā maġhribī matvāliyoñ kī race dekh
ghaat meñ terī lagā hai fitna-e-iblīs dekh
tū na un kī tarah bharnā arsa-e-fan meñ chhalāñg
kokh tā ThanDī rahe bachchoñ se aur sandal se maañg
duḳhtaran-e-maġhribī ko de na aurat kā ḳhitāb
ye mujassam ho ga.e haiñ kuchh gunahgāroñ ke ḳhvāb
phir rahī haiñ yā tirī nazroñ ke aage pur-fazā
auratoñ ke bhes meñ shaitān kī sartābiyāñ
ilm hāsil kar faqat tadbīr-e-manzil ke liye
vo dimāġhoñ ke liye haiñ aur tū dil ke liye!
Top Urdushayar.com