Josh Malihabadi

rishwat

Josh Malihabadi

1898-1982
log ham se roz kahte haiñ ye aadat chhoḌiye
ye tijārat hai ḳhilāf-e-ādmiyat chhoḌiye
bhuul kar bhī jo koī letā hai rishvat chor hai
aaj qaumī pāgaloñ meñ raat din ye shor hai
kis ko samjhā.eñ use khodeñ to phir pā.eñge kyā
ham agar rishvat nahīñ leñge to phir khā.eñge kyā
mulk bhar ko qaid kar de kis ke bas kī baat hai
ḳhair se sab haiñ koī do-chār das kī baat hai
ye havas ye chor bāzārī ye mahñgā.ī ye bhaav
raa.ī kī qīmat ho jab parbat to kyuuñ na aa.e taav
jab talak rishvat na leñ ham daal gal saktī nahīñ
naav tanḳhvāhoñ ke paanī meñ to chal saktī nahīñ
rishvatoñ kī zindagī hai chor-bāzārī ke saath
chal rahī hai be-zarī ahkām-e-zardārī ke saath
ham nahīñ hilne ke sun liije kisī bhauñchāl se
kaam ye chaltā rahegā aap ke iqbāl se
ye hai mil vaalā vo baniyā hai ye sāhūkār hai
ye hai dūkāñ-dār vo hai ved ye attār hai
haif mulk-o-qaum kī ḳhidmat-guzārī ke liye
rah ga.e haiñ ik hamīñ īmān-dārī ke liye
bhuuk ke qānūn meñ īmān-dārī jurm hai
aur be-īmāniyoñ par sharmsārī jurm hai
log aTkāte haiñ kyuuñ roḌe hamāre kaam meñ
jis ko dekho ḳhair se nañgā hai vo hammām meñ
toñd vāloñ kī to ho ā.īna-dārī vaah vā
aur ham bhūkoñ ke sar par chāñd-mārī vaah vā
seTh jī to ḳhuub motor meñ havā khāte phireñ
aur ham sab jūtiyāñ galiyoñ meñ chaTḳhāte phireñ
ḳhuub haq ke āstāñ par aur jhuke apnī jabīñ
jā.iye rahne bhī diije nāseh-e-gardūñ-nashīñ
ham phaTak sakte nahīñ parhez-gārī ke qarīb
aql-mand aate nahīñ īmān-dārī ke qarīb
is girānī meñ bhalā kyā ġhuncha-e-īmāñ khile
jau ke daane saḳht haiñ tāñbe ke sikke pil-pile
jaan bhī de de to saste daam mil saktā nahīñ
ādmiyat kā kafan hai dostoñ kapḌā nahīñ
sirf ik patlūn silvānā qayāmat ho gayā
vo silā.ī lī miyāñ darzī ne nañgā kar diyā
halkī Topī sar pe rakhte haiñ to chakrātā hai sar
aur juute kī taraf baḌhiye to jhuk jaatā hai sar
thī buzurgoñ kī jo banyā.in vo baniyā le gayā
ghar meñ jo gāḌhī kamā.ī thī vo gāḌhā le gayā
aa.ī tab rishvat kī chiḌiyā pañkh apne khol kar
varna mar jaate miyāñ kutte kī bolī bol kar
pattharoñ ko toḌte haiñ aadmī ke ustuḳhāñ
sañg-bārī ho to ban jaatī hai himmat sā.ebāñ
kyā batā.eñ bāziyāñ haiñ kis qadar haare hue
rishvateñ phir kyuuñ na leñ ham bhuuk ke maare hue
aap haiñ fazl-e-ḳhudā-e-pāk se kursī-nashīñ
intizām-e-saltanat hai aap ke zer-e-nagīñ
baḳhshte haiñ aap dariyā kashtiyāñ khete haiñ ham
aap dete haiñ mavāqe rishvateñ lete haiñ ham
Thiik to karte nahīñ buniyād-e-nā-hamvār ko
de rahe haiñ gāliyāñ girtī huī dīvār ko
illa-e-rishvat ko is duniyā se ruḳhsat kījiye
varna rishvat kī dhaḌalle se ijāzat dījiye
bad bahut bad-shakl haiñ lekin badī hai nāznīñ
jaḌ ko bose de rahe haiñ peḌ se chīñ-bar-jabīñ
koḌhiyoñ par āstīñ kab se chaḌhā.e haiñ huzūr
koḌh ko lekin kaleje se lagā.e haiñ huzūr
dast-kārī ke ufuq par abr ban kar chhā.iye
jahl ke ThanDe lahū ko ilm se garmā.iye
ḳhvāh kuchh bhī ho munḌhe ye bail chaḌh saktī nahīñ
mulk meñ jab tak ki paidā-vār baḌh saktī nahīñ
dil meñ jitnā aa.e lūTeñ qaum ko shāh-o-vazīr
khīñch le ḳhanjar koī joḌe koī chille meñ tiir
dostoñ kī gāliyāñ har aan sahne dījiye
ḳhāna-zādoñ ko yūñhī shaitān rahne dījiye
daam ik chhoTe se kuuze ke haiñ sau jām-e-bilūr
mol lene jaa.eñ ik qatra to deñ nahr-o-qusūr
jab ye aalam hai to ham rishvat se kyā tauba kareñ
tauba rishvat kaisī ham chanda na leñ to kyā kareñ
zulf us co-operative silsile kī hai darāz
chheḌte haiñ ham kabhī to vo kabhī rishvat kā saaz
naav ham apnī khivāte bhī haiñ aur khete bhī haiñ
rishvatoñ ke lene vaale rishvateñ dete bhī haiñ
bādshāhī taḳht par hai aaj har shai jalva-gar
phir rahe haiñ Thokareñ khāte zar-o-la.al-o-guhar
chauda aane ser kī āvāz sun kar āj-kal
laal ho jaatā hai ġhusse se TamāTar āj-kal
nastaran meñ naaz baaqī hai na gul meñ rañg-o-bū
ab to hai sehn-e-chaman meñ ḳhār-o-ḳhas kī aabrū
haal ke sikke ko maazī kā jo sikka dekh le
sau ruupe ke note ke muñh par do annī thuuk de
vaqt se pahle hī aa.ī hai qayāmat dekhiye
muñh ko Dhāñpe ro rahī hai ādmiyat dekhiye
itnī gambhīrī pe bhī mar-mar ke jiite haiñ janāb
sau jatan karte haiñ to ik ghūñT piite haiñ janāb
Top Urdushayar.com