Sufi Tabassum

raja rani ki kahani

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
aao bachcho suno kahānī
ek thā raajā ek thī raanī
donoñ ik din shahr meñ aa.e
shahr se ik ik guḌiyā laa.e
raaja kī guḌiyā thī dublī
raanī kī guḌiyā thī moTī
raaja kī guḌiyā thī lambī
raanī kī guḌiyā thī chhoTī
raajā bolā merī guḌiyā
merī guḌiyā baḌī siyānī
guḌiyāoñ meñ jaise raanī
raanī bolī ''merī guḌiyā''
merī guḌiyā ke kyā kahne
achchhe achchhe gahne pahne
raajā bolā ''merī guḌiyā''
merī guḌiyā biin bajā.e
mīThe mīThe gaane gaa.e
raanī bolī ''merī guḌiyā''
merī guḌiyā naach dikhā.e
uchhle kuude shor machā.e
donoñ meñ bas huī laḌā.ī
donoñ ne kī hāthā-pā.ī
raanī bolī sun mirī baat
merī guḌiyā ke do haat
ek se khaa.e daal chapātī
ek se khaa.e saag aur paat
raajā bolā bas chup kar
merī guḌiyā ke do sar
jaise chiḌiyā ke do par
ek idhar aur ek udhar
raanī bolī huuñ huuñ huuñ
merī guḌiyā ke do muuñ
ek se khaa.e garm pakauḌe
ek se bole suuñ suuñ suuñ
itne meñ ik baḌhiyā-mā.ī
dauḌī dauḌī andar aa.ī
aate hī ik DaañT pilā.ī
kyā hai jhagḌā kyā hai laḌā.ī
ye bhī guḌiyā vo bhī guḌiyā
ye bhī siyānī vo bhī siyānī
tū hai raajā tū hai raanī
ḳhatm karo ye rām-kahānī
Top Urdushayar.com