Sufi Tabassum

surayya ki guDiya

Sufi Tabassum

Amritsar, Punjab, India

1899-1978
suno ik maze kī kahānī suno
kahānī hamārī zabānī suno
surayyā kī guḌiyā thī chhoTī bahut
na dublī bahut aur na moTī bahut
jo dekho to nannhī sī guḌiyā thī vo
magar ik sharārat kī puḌiyā thī vo
jo sotī to din raat sotī thī vo
jo rotī to din raat rotī thī vo
na ammī ke saath aur na bhayyā ke saath
vo har vaqt rahtī surayyā ke saath
surayyā ne ik din ye us se kahā
mirī nannhī guḌiyā yahāñ baiTh jā
bulāyā hai ammī ne aatī huuñ maiñ
khaTolī meñ tujh ko sulātī huuñ maiñ
vo nādān guḌiyā ḳhafā ho ga.ī
vo roī vo chillā.ī aur so ga.ī
achānak vahāñ ik parī aa ga.ī
khulī aañkh guḌiyā kī ghabrā ga.ī
to bolī parī muskurātī huī
sunahrī paroñ ko hilātī huī
''idhar aao tum mujh se bāteñ karo
maiñ nāzuk parī huuñ na mujh se Daro''
vo guḌiyā magar aur bhī Dar ga.ī
lagī chīḳhne ''hā.e maiñ mar ga.ī
''mirī pyārī aapā bachā lo mujhe
kisī koTharī meñ chhupā lo mujhe''
surayyā ne aa kar uThāyā use
uThā kar gale se lagāyā use
gale se lagāte hī chup ho ga.ī
vo chup ho ga.ī aur phir so ga.ī
surayyā ko dekhā parī uḌ ga.ī
jidhar se thī aa.ī udhar muḌ ga.ī
Top Urdushayar.com