Aleem Durrani

waqt

Aleem Durrani

sahmī sahmī khoī khoī dasht kī do hirniyāñ
yaad aatī haiñ mujhe vo zaḳhm-ḳhurda laḌkiyāñ
in ke chehre jagmagāte the ḳhizāñ kī dhuup se
dard kī bārish ho jaise ruup ke bahrūp se
un kā dil mahrūmiyoñ kā ek gahrā ġham liye
aur āñkheñ jis tarah hoñ jalte-bujhte se diye
aate jaate dekhtā thā roz un ko raah meñ
jaise pāgal ho chalā thā maiñ bhī un kī chaah meñ
phir na jaane kyā huā kis lahr meñ vo kho ga.iiñ
koī un kā ho gayā yā vo kisī kī ho ga.iiñ
Top Urdushayar.com