shaam ke dāman meñ pechāñ nīm-afrañgī hasīñ
nuqra.ī pāroñ meñ ik sone kī laag
rah guzar meñ yā ḳhirāmāñ sard aag
yā kisī mutrib kī le ik tishna takmīl raag
ek bahr-e-be-karāñ kī jhilmilātī sat.h par
zau-fagan afsāna-hā-e-rañg-o-nūr
niile niile do kañval maujoñ se chuur
bahte bahte jo nikal jaa.eñ kahīñ sāhil se duur
chāñd sī peshāniyoñ par zarfishāñ lahroñ kā jaal
ahmarīñ uḌtā huā rañg-e-sharāb
jam ga.ī haiñ ash.a-e-sad-āftāb
gardanoñ ke pech-o-ḳham meñ ghul gayā hai māhtāb
ishrat-e-parvez meñ kyā nāla-e-hā-e-tez-tez
uḌ gayā din kī javānī kā ḳhumār
shaam ke chehre pe lauT aayā nikhār
ho chuke haiñ ho rahe haiñ aur dāman dāġh-dār
us kā zarrīñ taḳht sīmīñ jism hai āñkhoñ se duur
jām-e-zahr-ālūd se uThte haiñ jhaag
chauñk kar añgḌā.iyāñ lete haiñ naag
jaag 'antoni' mohabbat so rahī hai jaag jaag