Akhtar-ul-Iman

mahrumi

Akhtar-ul-Iman

Bijnor, Uttar pradesh, India

1915-1995
tū bhī taqdīr nahīñ dard bhī pā.inda nahīñ
tujh se vābasta vo ik ahd vo paimān-e-vafā
raat ke āḳhirī aañsū kī tarah Duub gayā
ḳhvāb-añgez nigāheñ vo lab-e-dard-fareb
ik fasāna hai jo kuchh yaad rahā kuchh na rahā
mere dāman meñ na kaliyāñ haiñ na kāñTe na ġhubār
shaam ke saa.e meñ vāmāñda sahar baiTh ga.ī
kārvāñ lauT gayā mil na sakī manzil-e-shauq
ek ummīd thī so ḳhāk-basar baiTh ga.ī
ek do-rāhe pe hairān huuñ kis samt baḌhūñ
apnī zanjīroñ se āzād nahīñ huuñ shāyad
maiñ bhī gardish-e-gah-e-ayyām kā zindānī huuñ
dard hī dard huuñ fariyād nahīñ huuñ shāyad
zer-e-mizhgāñ tapish-e-āh ke pighlā.e hue
DabDabāte hue tāroñ se mujhe kyā lenā
tere aañsū mire dāġhoñ ko nahīñ dho sakte
tere phūloñ kī bahāroñ se mujhe kyā lenā
apne anjām kī tashvīsh ab ā.inda nahīñ
Top Urdushayar.com