Akhtar-ul-Iman

zindagi ke darwaze par

Akhtar-ul-Iman

Bijnor, Uttar pradesh, India

1915-1995
pā-barhana-o-sarāsima sā ik jamm-e-ġhafīr
apne hāthoñ meñ liye mash.al-e-be-sho.ala-o-dūd
muztarib ho ke gharoñdoñ se nikal aayā hai
jaise ab toḌ hī Dālegā ye barsoñ kā jumūd
un papoToñ meñ ye pathrā.ī huī sī āñkheñ
jin meñ fardā kā koī ḳhvāb ujāgar hī nahīñ
kaise DhūñDeñgī dar-zīst kahāñ DhūñDeñgī
un ko vo tishnagī-e-shauq mayassar hī nahīñ
jaise sadiyoñ ke chaTānoñ pe tarāshe hue but
ek dīvāne musavvir kī tabī.at kā ubaal
nāchte nāchte ġhāroñ se nikal aa.e hoñ
aur vāpas inhīñ ġhāroñ meñ ho jaane kā ḳhayāl
zindagī apne darīchoñ meñ hai mushtāq abhī
aur ye raqs-e-tilismāna ke rañgīñ saa.e
us kī nazroñ ko diye jaate haiñ paiham dhoke
jaise bas aañkh jhapakne meñ vo uḌ kar aa.e
shahpar-e-maut kisī ġhūl-e-bayābāñ kī tarah
qahqahe bhartā hai ḳhāmosh fazāoñ meñ sadā
kāñpte kāñpte ik baar simaT jaatī hai
ek tārīk sā parda yūñhī āvezāñ rahā
koī darvāze pe dastak hai na qadmoñ kā nishāñ
chand pur-haul se asrār tah-e-sāya-e-dar
ḳhud hī sargoshiyāñ karte haiñ koī jaise kahe
phir palaT aa.e ye kam-baḳht vahī shām-o-sahar
nāchtā rahtā hai darvāze ke bāhar ye hujūm
apne hāthoñ meñ liye mash.al-e-be-sho.ala-o-dūd
zindagī apne darīchoñ meñ hai mushtāq abhī
kyā ḳhabar toḌ hī de baḌh ke koī qufl-e-jumūd
Top Urdushayar.com