Akhtar-ul-Iman

wapsi

Akhtar-ul-Iman

Bijnor, Uttar pradesh, India

1915-1995
ḳhāmosh hai guñg hai siyah-posh

maazī ke mahal kī kohna dīvār
TuuTā nahīñ be-hisī kā pindār
chhoḌā thā usī mahal ke pīchhe
ahbāb ko sirf naġhma-o-sāz
rakhte the sharāratoñ kī buniyād
hotā thā mohabbatoñ kā āġhāz
lauTā huuñ to mahfileñ haiñ ḳhāmosh
aatī nahīñ qahqahoñ kī āvāz
zindāñ kī hadoñ meñ kho ga.e haiñ
dīvāne bahal ke so ga.e haiñ
darvāzoñ pe de rahā huuñ āvāz
ḳhāmosh hai guñg hai siyah-posh
maazī ke mahal kī kohna dīvār
phailā.e hue zamīñ hai āġhosh
tārīkī meñ DhūñDhtā huuñ rāheñ
sūraj ko taras ga.iiñ nigāheñ
Top Urdushayar.com